How To Reduce Image Size without Losing Quality in Hindi

How To Reduce Image Size without Losing Quality in Hindi

friends aaj ki is post me mai aap logo ko batane ja raha hu ki aap image size ko bina quality lose kiye kaise reduce (कम) kar sakte ho. friends yaha mai ak online image size reduction tool batane ja raha hu jo apki help karega image ka size kam karne me. to chaliye batate hai step by step .....

bina quality lose kiye image ka size kam kaise kare . ye bahut se bloggers ke mind me question aata rahta hai. bloggers ko aisi images ki jarurat hoti hai jo dikhane me acchi ho lekin unka size kam ho. image ka size kam hone se blog/website ki loading speed acchi ho jati hai. aur blog ki ranking bhi acchi ho jati hai. isi wajah se log image ka size kam karne ki kosis karte rahte hai. 

bahut se new bloggers ko to isaki jankari bhi nahi hoti hai aur wah sochate hai jab image ki quality acchi karoge to size bhi jyada rahega. aur isi wajah se new bloggers ki site jaldi rank nahi ho pati hai. so agar aap new blogger hai to aap is post ko bahut hi dhyan se padhe aur follow kare. 

How To Reduce Image Size without Losing Quality in Hindi -

1 - friends image size ko kam karne ke liye apko niche di gayyi website par jana hai. 
how to reduce image size without losing quality

2- site par jane ke bad apko ak upload ka icon show hoga jaisa ki aap upar image me dekh sakte ho. apko is par click karke image upload kar deni. jis image ko compress karna hai. 

3- usake bad apki image kuchh hi time me compress hokar download hone ke liye ready ho jayegi. fir aap download button par click karke image ko download kar sakte ho. 

Conclusion - 

aap upar second image me dekho maine ak 2.6 MB ki image upload ki aur tinypng tool ne usko 424.5 KB ka bana diya lekin image dekhane me bilkul hi waisi hi hai. to friends aap khud hi samjh sakte ho ye tool kitna usefull hai. agar apko tool use karne me kisi bhi tarah ki problem aa rahi hai. to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. aur video me maine apko live dikhaya hai ki image compress hone ke bad kaisi dikhati hai to aap usko bhi dekh sakte ho. 
i hope ab aap samjh gaye honge ki bina quality lose kiye image ka size kaise kam kare .aur agar apka abhi bhi image compressing se related koi sawal hai to aap niche comment karke puchh sakte ho.

0 Response to "How To Reduce Image Size without Losing Quality in Hindi "

Post a Comment