5 Best Part Time Jobs For Student in Hindi
Agar aap ak student hai aur aap part time job search kar rahe hai. to aap bilkul sahi jagah par aaye hai . yaha mai aise 5 part time jobs aap logo ko bataunga jinase aap bahut hi kam time dekar aachi income kar sakte ho. dosto yaha mai jitane bhi part time works batane ja raha hu wo sabhi ke sabhi online honge matlab apko kahi bhi jane ki jarurat nahi hai. aap ghar baithe part time job karke income kar sakte ho. in jobs ko karne ke liye apke pass ak accha internet connection hona chahiye aur apke pass ak android mobile aur laptop hona chahiye. agar apke pass ye sab hai to aap in jobs ko kar sakte ho. ye part time jobs karne ki koi time limit nahi hai. apke pass jitna time hai utna invest karo. usi ke hisab se apko paise milenge. to chaliye ab apne samjh liya hai ki part time job ke liye apko kis chij ki jarurat hai. to ab ham apko batate hai un part time jobs ke liye jo student ke liye bahut hi acchi hai. mai khud ak 12th class ka student hu aur mai in sabhi jobs ko karta hu. aur waha se mai acchi income karta hu. main in sabhi jobs ka apko live payment proof bhi dikha dunga.
5 Best Part Time Jobs For Student in Hindi -
1- UC News
friends agar aap apne mobile me uc browser use karte hai, to aap jab uc browser ko open karte hai to waha par apko kuchh news dikhayi deti hai unhi ko uc news kahte hai. uc news ka ak alag app bhi hai. to isame apko karna kya hai. uc news par apko news likhna hai aur apko news likhane ke rupee milenge. uc news par news likhkar rupee kamane ke liye apko sabse pahle uc news me wemedia ka account create karna hoga jo ki bahut hi asan hai. aap simple niche di gayyi site par jakar account create kar sakte ho. usake bad kuchh dino me apka account approve ho jayega. fir aap apne account me news likhna start kar sakte ho . aur apki income bhi start ho jayegi. maine uc news se lagbhag 50-60,000 rs earn kiye hai. uc news monthly payment karta hai. jab apke uc news account me 50$ ho jayenge to aap unhe apne bank me transfer kar sakte ho. aap yaha hindi ya english me news likh sakte ho.
- Click here to create uc news wemedia account- https://mp.ucweb.com
- uc news payment proof video dekhane ke liye is link par click kare- https://youtu.be/y-kGNEYRTOg
2- Newsdog
Newsdog bhi uc news ki hi tarh hai aap yaha par bhi news likhkar paise kama sakte ho. jab apke newsdog account me 3000rs ho jayenge to aap inhe apne paytm account me transfer kar sakte ho. newsdog par account banana bhi bahut hi asan hai aap niche di gayyi link par clic karke news dog par account bana sakte ho.
- Click here to create newsdog wemedia account - http://mp.newsdog.today
uc news aur newsdog dono student ke liye bahut hi acche part time job hai.
3- Youtube
hamara jo 3rd part time job hai wo hai youtube. ab youtube se rupee kaise kamane hai wo mai aapko batata hu. yaha par apko video banakar dalne hai. jaise aap log youtube par videos dekhate ho aapko bhi usi tarh ke video banakar yaha dalna hai. lekin yaha apko ak bat dhyan me rakhni hai apko kisike bhi videos ko copy karke nahi dalna hai. nahi whatsapp par aayyi videos ko youtube par upload karna hai. apko apne mobile ya camera apke pass jo bhi hai apko uski madad se video record karke youtube par dalani hai. ab aap soch rahe honge mai kis topic par video banau. to mai apko yaha kuchh idea de deta hu. apko jis bhi topic ke bare me acchi jankari ho aap us topic par video banakr youtube par dalkar paise kama sakte ho. youtube se paise kamane ke liye apko sabse pahle youtube par channel banana padega. usake bad apko yaha video dalani hai . aur fir apko apne youtube account ko adsense se link karna hai. usake bad apki earning start ho jayegi.
youtube se rupee kamane me thoda time lagta hai. so agar apko instant money ki jarurat hai to aap upar bataye gaye work kare waha se apko starting me hi earning start ho jayegi. lekin youtube par time lagta hai. youtube channel kaise banate hai. yah janane ke liye aap google me search kar sakte ho. baki mai jaldi hi kosis karunga ki youtube se related aapko aur bhi jankari du. to isake liye aap hamare is blog ko regular visit karte raho.
- Read Also - YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं
4- Blogging
hamara 4th part time job hai blogging. ji hai aap blogging karke bhi accha paisa kama sakte ho. to chaliye sabse pahle apko batate hai ki blogging hoti kya hai. blogging me apko post likhan hota hai. jaise mai ye post likh raha hu. "5 Best Part Time Jobs For Student in Hindi " aise hi aap apni ak website banakar waha par post likhkar bhi paise kama sakte ho. website banana bahut hi asan hai. aap niche di gayyi link par click karke video dekho waha apko bataya gaya hai ki apko website kaise banani hai. website banane ke bad apko waha post likhani hai. aur apne blog ko google adsense se connect karna hai. jaise hi aap apne blog ko google adsense se connect karoge apki earning start ho jayegi. blog banane aur waha se earning karne me thoda time jarur lagta hai lekin yaha se kamayi bhi acchi hoti hai.
- is link par click karke jane blog kaise banani hai - https://youtu.be/9ozQU-d65bI
5- Freelancing
hamara 5th part time job hai freelancing. to chaliye pahle apko batate hai freelancing hoti kya hai. freelancing websites hoti hai waha par apko register karna hota hai. yaha apko jo kam ke bare me acchi knowledge hai wo enter karna hota hai. fir apko yaha kam diya jayega apko wo kam karna hai aur fir client apko rupee dega. ab mai apko ak chhota sa example lekar batata hu. jaise man lo apko photo editing karni aati hai. aur mujhe photo edit karwani hai.
to mai jaunga freelancing website par photo editing ko hire karunga aur usko kuchh photo dunga jab wah un photos ko edit karke mujhe de dega to mai uske badle me usko kuchh rupee dunga. isi ko freelancing kahte hai. freelancing experienced logo ke liye bahut hi acch part time job hai. mai khud is part time job ko karta hu maine isse abtak 60,000rs se bhi jyada rupee kamaye hai. freelancing ka maine payment proof video bhi banaya hai aap usko dekh sakte ho. aur kuchh freelancing webistes ki link mai aapko de raha hu aap un par jakar register karke earning start kar sakte ho.
- Freelancing sites - https://www.fiverr.com , https://www.upwork.com , https://www.freelancer.in
- freelancing ko aur aachi tarh samjhane ke liye is link par click karke video dekhe- https://youtu.be/ifatpEBbluk
- Freelancing live payment proof dekhane ke liye is link par click kare- https://youtu.be/yLc9o3Q5XZs
to friends ye the 5 best part time jobs students ke liye i hope apko pasand aaye honge. agar apko iname se koi bhi part time job karne me kisi bhi tarh ki problem aa rahi hai. to aap niche comment karke mujhse question puchh sakte ho.
0 Response to "5 Best Part Time Jobs For Student in Hindi "
Post a Comment