Valentine Day Kyo Manate hai ? - Valentine Day History
Friends aaj mai aap logo ko batane ja raha hu ki valentine day kya hota ? hai aur valentine day kyu manaya jata hai ? basically aaj ham apko valentine day ki history batayenge to chaliye suru karte hai...
Valentine Day History in hindi -
kaha jata hai ki valentine day ka nam ak sant ke nam se pada hai. ak sant tha jiska name valentine tha. Rome me ak Raja huwa karta tha jiska nam claudius tha. claudius ka manna tha ki vivah karne se purso ki intelligence and power khatam ho jati hai isiliye usane apne Rajya ke sabhi sainiko me ye rule bana rakha tha ki koi bhi sainik vivah nahi karega aur jo karega usko kadi se kadi saja di jayegi. lekin sant valentine ne claudius ke is rule ka virodh kiya aur sabhi sainiko ko vivah karne ke liye prerit karke unka vivah karwa diya. jab yah bat claudius ko pata chali to usane sant valentine ko 14 february 269 ko fansi ki saja de di. tabhi se unaki yad me har 14 february ko valentine day manaya jata hai , yahi hai valentine day ki history...
waise to pyar karne walo ke liye hardin valentine day hota hai. lekin aaj ke is busy schedule me har kam karne ke liye kuchh days banaye gaye hai. unhi me se hai valentine day... to hamane apko valentine day ki history batayi aur apko bataya ki valentine day kab manaya jata hai ? to agar apko yah post pasand aayi to niche comment karke bataye aur agar apke dosto ko bhi nahi pata ki valentine day kyu manate hai ? to unake sath is post ka link share kare.....
0 Response to "Valentine Day Kyo Manate hai ? - Valentine Day History"
Post a Comment