Video Call Kaise Kare
Dear Friends kya apne naya Android mobile liya hai aur aap janna chahte ho ki andorid mobile se video call kaise kare to aap bilkul sahi jagah par ho aaj mai aap logo ko is post me batane ja raha hu ki aap apne android mobile se free me video call kaise kar sakte ho. friends sabse pahle to ham ye jan lete hai ki mobile se video call karne ke liye hame kin kin chijo ki jarurat hogi.
jaisa ki aap upar di gayyi image me dekh sakte ho isame video call ka option aa raha hai. ye 4g volte supported mobile hai.
to friends video call karne ke liye apke pass ak accha mobile hona chahiye aur usame high speed internet ka connection hona chahiye. 3g ya 4G aur agar aap jio sim use kar rahe ho to fir to koi problem nahi hai because jio sim me kafi acchi speed aati hai. aur jisase aap video call karna chahte ho usake pass bhi accha mobile aur high speed internet connection hona jaruri hai.
Video call karne ke Tarike -
to friends video call karne ke apke pass 2 methods (तरीके) hai. chaliye apko video call karne ke dono methods ki detail me jankari dete hai. aur fir apko batate hai ki apke liye video call karne ka accha tarika koun sa hai. aur apko kaise video call karna hai.
video call karne ka 1st method hai aap internet connection ko on karke kisi application ki help se video call kar sakte ho aur second method hai aap jaise direct number dial karke voice call karte ho waise hi video call kar sakte ho. lekin 2nd method aap unhi smartphone me apply kar sakte ho jo mobile volte supported hote hai. 1st method ka use karke aap kisi bhi android mobile se video call kar sakte ho. to chaliye apko in dono methods se video call karne ki jankari detail me dete hai.
Android Mobile se Video Call Karne Ka 1st Method -
1st Method sabse easy hai. is method ko aap kisi bhi android mobile me use karke video call kar sakte ho. is method se video call karne ke liye apko simple google play store se imo app download karna hai aur fir usame apko account banana hai aur aap jisase video call karna chahte ho uske mobile me bhi imo app ko download karke resgiter kar lena hai.
fir aap dono asani se video call kar sakte ho. register karne ke bad apko imo app open karna hai aur apne friends ka jisase aap video call karna chahte ho uska phone number dalna hai aur video call start kar dena hai. aap niche diya gaya video dekh sakte ho is video me apko imo se video call karne ka demo dikhaya gaya hai.
isi tarh ki aur bhi bahut se application play store me availble hai jaise whatsapp, skype, duo, massenger, aap inka use karke bhi video call kar sakte ho. lekin yaha sirf maine imo ka use karke video call ka demo dikhaya hai.
Android Mobile se Video call karne ka 2nd Method -
to chaliye ab ham dusare methods ki bat karte hai. ye method sirf unhi mobile ke liye hai jo 4g volte supported hai aap is method ko 2g,3g ya 4G lte supported mobile me nahi use kar sakte. aur aap jisase video call karna chahte ho usake pass bhi 4g volte supported mobile hona chahiye. friends waise apni country india me aajkal 40% 4g devices volte enabled aa rahi hai. to agar apka bhi mobile volte supported hai to aap bhi is method ka use karke video call kar sakte ho.
is method se video call karne ke liye apka network provides bhi apko 4g volte ki serivice de raha ho tabhi aap aisa kar sakoge india me sirf Reliance jio 4g volte service provide kar raha hai. baki aur company 4g service to deti hai lekin 4g volte service nahi deti hai. to agar apke pass 4g volte andorid mobile hai aur aap usame reliance jio ka sim use karte ho to jab aap koi bhi number dial karke voice call karte honge to waha par ak option video call ka aata hai. is video call ke option par click karke aap apni voice call ko video call me transfer kar sakte ho. isake liye apko internet connection ki bhi jarurat nahi hogi. aur aap Free Me jio sim ka use karke video call kar sakte ho.
4g Volte Smartphone |
to friends mujhe umeed hai aap samjh gaye honge ki andorid mobile ka use karke video call kaise karte hai yaha maine apko video call karne ke 2 tarike bataye hai aap kisi bhi method ka use karke video call kar sakte ho. mere hisab se 1st method easy hai aur aap us method ko kisi bhi mobile me apply karke asani se video call kar sakte ho. 2nd method sirf kuchh hi mobiles me work karega. to agar apko video calling karne me koi problem aa rahi hai to aap niche comment karke puchh sakte ho.
0 Response to "Video Call Kaise Kare"
Post a Comment