Passport ke liye Online Apply kaise kare

Passport ke liye Online Apply kaise kare

hello friends aaj mai aap logo ko batane ja raha hu ki aap passport ke liye online apply kaise kar sakte ho. friends sabse pahle mai apko bata deta hu ki passport kya hota hai. passport basically ak id proof hi hota hai jaisa Aadhar card, voter id card isi tarh ka but ye apka ak international id card hota hai. 
jab aap kisi dusare desh me jate ho to isaki jarurat padti hai. jaise aap America ja rahe ho to apko passport ki jarurat hogi. to i think ab apko pata chal gaya hoga ki passport kya hai. waise videsh jane ke liye sirf passport ka hona hi kafi nahi hai isake liye aur bahut se document ki jarurat hoti hai wo ham aur kabhi batayenge. lekin aaj ka jo main topic hai us par bat karte hai passport ke liye online apply kaise kare


Passport ke liye Online Apply kaise kare -

friends india me passport banwane ke liye apko kaise apply karna hai ham is post me apko detail se batayenge. isase pahle mai apko bata deta hu ki india me passport banwane ki fee katni hai

Passport fee in india - 

waise normally india me 2 type ke passport hote hai. ak hota hai 36 pages ka aur iski validity 10 years ki hoti hai iski fee 1500 rs hai. 
aur second hota hai 60 pages ka aur isaki bhi validity 10 years ki hoti hai iski fee hai 2000rs. 60 pages ka passport wo log banwate hai jinko bahut jyada international travel karna padta hai. baki aap aur jyada types ke passport aur unaki fee ke bare me detail jankari pane ke liye niche di gayyi link par click kar sakte ho. 
to ab hamane bat kar li ki passport banwane ke liye kitani fee padti hai. ab ham bat karte hai ki passport banwane ke liye koun koun se document ki jarurat hoti hai. 

Document required for Passport - 

waise normally passport apply karne ke liye apke pass Aadhar card, bank passbook, voter id card, driving lincense hona chahiye. aur apne kitani study ki hai uski marksheet. waise itane sabhi document ki jarurat nahi padti hai. but jab aap passport ka verification karane jayenge tab apko waha ye sare document lekar jana hai wo apse koi bhi document mang sakte hai. so be carefully. baki passport ke liye kin kin document ki jarurat hoti hai is bare me jyada jankari ke liye aap niche di gayyi link par click karke puri jankari pa sakte ho. 
to friends hamane apko passport ki fee bata di document bata diye ab bat karte hai apko passport ke liye online apply kaise karna hai

Passport ke liye Online Apply kaise kare -

Passport ke liye online apply karne ke liye apko niche di gayyi link par click karke indian passport ki official website par jana hai.
website par jane ke bad apko yaha registration karna hai aur apni detail fill up karni hai. registration kaise karna hai aur waha detail kaise fill up karni hai is bare me detail se jankari ke liye aap niche diya gaya video dekh sakte ho. 
friends passport apply karne ke bad apko verification ke liye appointment fix karna hai. aap apne pass ke kisi passport office ka appointment fix karke waha se apna verification kara sakte ho. apne pass ka appointment centre pata karne ke liye aap niche di gayyi link par click kar sakte ho. 

Passport Appointment tips in Hindi - 

friends ab thoda ham bat kar lete hai passport appointment fix kaise karna hai aur apko kya kya prepration karni hai taki apka ak hi bar me verification complete ho jaye. 
Tip 1 - Friends passport appointment ka jo time hota hai usase kareeb ak ghante pahle hi passport office pahuch jaye ye bahut hi jaruri hai. 1 ghante me aap waha kya scene chal raha hai ye sab jan jayenge aur apke under ak confidence aa jayega. aur kabhi kabhi jyada bheed na hone par time se pahle bhi apko entry de di jati hai. so is bat ka dhyan rakhe. 

Tip 2- sabhi original document ko carry kare. aur passport application form ka print aur usake sath id proof ki photocopy ko attach karke ak file taiyar kar le usko alag rakhe. jab aap under passport office me jaoge to sabse pahle apko apni passport application printout dena hai usake bad agar wo original document ki mang karte hai to apko wo bhi dikha dena hai. 

Tip 3 - kosis kare ki aap acche kapde aur fresh mode me jaye. 

Tip 4 - dalalo se sawdhan rahe. waise normally to apko waha koi dalal nahi milega lekin kuchh passport offices hai jaha mil jate hai. wo apse bolenge ki mai apko side se entry dila dunga apka verification jaldi kara dunga apko in documents ji jarurat padegi aisi hi wo apse kuchh bate karke paise lene ke chakkar me rahenge. but apko un sabse door rahna hai. ye meri bahut hi strict advice hai. 

Last Word - 

baki best of luck. aur niche comment karke batao apko ye passpoort ki puri detail me jankari kaise lagi. aur apka koi bhi passport verification se related sawal hai to aap usko bhi niche comment karke puchh sakte ho.

friends ye to tha passport kaise apply kare aur ab aage aata hai police verification. jab aap passport apply karke appointment fix karke passport office se verification complete kara lete ho to apke police station me file verification ke liye send ki jati........... to is post me bas itna hi aage ki jankari mai apko agali post me dunga. apko bataunga ki kaise apko police verification karwana hai aur aage kya process karna hai.......Thanks for Reading

0 Response to "Passport ke liye Online Apply kaise kare "

Post a Comment