Facebook Profile Picture Frame Kaise Banaye

Facebook Profile Picture Frame Kaise Banaye

friends kya aap apna khud ka facebook profile picture frame create karna chahte ho agar ha to aap bilkul sahi jagah par ho aaj mai aap logo ko is post me step by step batane ja raha hu ki kaise aap facebook profile picture frame ko create kar sakte ho. friends facebook profile picture frame ko banane ke liye yaha jo tarika mai batane ja raha hu wah facebook ka official tarika hai. to chaliye apko batate hai kaise fb profile picture frame create karna hai
Facebook Profile Picture Frame 

How To Make Facebook profile Picture Frame Step by step in hindi - 

friends facebook profile picture frame ko sabse pahle apko photoshop ki madad se transparent background me  .png extension me banana hoga. jaisa ki aap niche dekh sakte ho. maine ye frame photoshop ki help se create kiya hai.
 Facebook profile picture frame.png
ab apko ye frame facebook par upload karna hai. to main work ye hai. photoshop se frame to sabhi bana lete hai. lekin upload kaise karna hai ye bahut se logo ko nahi pata hota hai. mujhase kafi log puchate rahte hai ki aap facebook frame kaise banate ho. to isiliye maine socha kyo na ham is topic par ak post likh dete hai. 

How To Upload Profile Picture frame on Facebook in Hindi - 

facebook par profile picture frame upload karne ke liye sabse pahle apko facebook.com ko apne computer me open karke log in kar lena. aur usake bad niche di gayyi link par click karna hai. 


Steps - ab apko right top corner me ak Create frame ka option dikhega apko us par click karna hai aur usake bad apko Upload Art ke option par click karke photoshop se jo apne png file create ki thi usko upload karna hai. aur next par click kar dena hai. aur fir apko frame ka name likhna hoga aur apko kuchh aur basic detail fill karke next kar dena. aur fir final step me apko publish ke button par click kar dena hai. 

ab apka facebook profile picture frame upload ho gaya hai. aur review ke liye bhej diya gaya hai. 2-3 din me review hokar active ho jayega fir aap usko apni facebook profile me add kar sakte ho. 
to friends ye tha process ki kaise apko facebook profile picture frame create karna hai . agar apko ye frame create karne me kisi bhi tarh ki problem aa rahi hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko facebook profile picture frame kaise create karna hai iska live video dikhaya gaya hai. 
aur agar apko fir bhi facebook profile picture frame create karne me kisi bhi tarah ki problem aa rahi hai to aap niche comment karke apna question puchh sakte ho. 

0 Response to "Facebook Profile Picture Frame Kaise Banaye "

Post a Comment