What is Passive income ? and How To Make passive Income ? ( 5 ways in hindi )
Friends aaj ham bat karne ja rahe hai passive income kya hai aur aap kaise passive income earn ( Kama ) sakte ho. friends agar apko dusaro se hatkar apni jindagi jini hai aur aap apne zindagi ko enjoy karna chahte ho to ye post apko bahut hi dhyan se padhna hai aur apko is post ko follow karna hai. friends jaisa ki ham sabhi janate hai. aajkal logo ke pass bahut si problems hai aur uname se jyadatar problems ka main reason hai money. to aaj ham ak aise terms se apko introduce karane ja rahe hai. jo ki apki money problems ko solve karega. wo hai passive income. aap apni zindagi me chahe jo bane chahe jo kuchh kare agar apne abhi se passive income ko samajh liya aur is par kam karna start kar diya. to fir maze hi maze hai. to chaliye sabse pahle apko thoda passive income kya hai is bare me detail se information dete hai.
What is Passive income in Hindi -
friends passive income kya hai ? easy tarike se batata hu aisi income jo apke kam na karne par bhi mile. fir aap chahe so (sleep) rahe ho. travel kar rahe ho. gana ga rahe ho. ya fir aap life me kuchh bhi kar rahe ho but apki income ho rahi hai. to aisi income ko passive income kahte hai. passive income apko financial freedom deti hai. generally log passive income ke bare me bahut hi kam sochate hai. jaisa ki ham sabhi log janate hai.
aajkal log job karne ke liye bahut betab rahte hai. job me aap subah 9 baje ghar se jate ho aur sam ko 5 baje wapas aate ho. aur isi beech jo aap kam karte ho usi ki apko salary milati hai. lekin jab aap vacation me jate ho ya fir aap kisi aur kam se chhutti lete ho to apki salary cut kar li jati hai. lekin passive income ak aisa way hai. jaha par aap chahe jo karo apki income aati rahegi. to ab hamane bahut bat kar li passive income kya hai. ab bat karte hai. ki kaise aap passive income earn kar sakte ho. yani ki passive income kaise kamana hai. to chaliye ab thoda ham apko kuchh smart tarike batate hai jinko follow karke aap acchi khasi passive income earn kar sakte ho.
How To Earn passive Income in Hindi -
Friends waise to passive income earning ke bahut se methods (tarike) hai . lekin yaha mai apko sabse easy aur trusted tarike batane ja raha hu. jo ki aap bahut hi asani se kar sakte ho. friends jaisa ki aap sabhi log jante ho ki digital duniya bahut tezi se badh rahi hai. aur iska hi result hai aap ye jankari online padh rahe ho. to friends yaha mai apko kuchh online aur kuchh offline tarike bataunga. jinase aap acchi khasi passive income earn kar sakte ho. to chaliye batate hai apko passive income earn karne ke 5 methods .
5 Methods To Earn Passive Income -
friends as you know koi bhi kam ho usake karne ke bahut se methods hote hai. usi type se passive income earn karne ke bhi bahut se methods hai. jinako hamane 2 category me devide kiya hai. offline and online. yaha mai aapko kuchh offline aur kuchh online tariko ke bare me bataunga. to sabse pahle ham online Methods ke bare me bat kar lete hai.
Online Methods To Earn Passive Income -
1- Youtube
To friends pahla methods hai youtube aap youtube se passive income earn kar sakte ho. as you know youtube ak video sharing platform hai jo ki google ka product hai. aur aajkal is digital duniya me bahut tezi se grow kar raha hai. youtube se rupee kamane ke liye apko yaha sirf video upload karna hai. aur unko monetize karke aap rupee kama sakte ho. apko sirf video banakar dal dena hai aur fir jab bhi koi us video ko dikhega apko usase income hogi.
fir chahe aap so (sleep) rahe ho jag rahe ho. ya fir aap kuchh aur kam kar rahe ho. mai aise bahut se logo ko janta hu jo youtube se lakho rupee kama rahe hai. to friends der kis bat ki jao aur aap bhi youtube se passive income earn karna start kar do. youtube se rupee kaise earn karna hai is bare me jayda jankari ke liye yaha click kare. aap niche diya gaya video dekhkar sikh sakte ho youtube se kaise rupee kamane hai.

2- Blog
friends second method hai blog. kuchh logo ko camera ke samane baith kar bolna muskil lagta hai aur wo video banakar youtube se rupee nahi earn kar pa rahe hai. to aap blog se rupee earn kar sakte ho. waise ho skta hai blog word apko sunane me thoda naya lag raha hoga. but i'm sure apne Patrika (पत्रिका) to suna hi hoga. patrika ko hi english me blog kahte hai. chuki ham yaha passive income karne ke online methods ke bare me bat rahe hai to ham apko batayenge ki kaise aap online blog bankar us par post likhkar rupee kama sakte ho. blog banana bahut hi asan hai.
aap free me www.blogger.com par jakar blog bana sakte ho. aur waha par apko jis bhi category/topic ke bare me accha knowledge hai aap us bare me waha par article likh sakte ho. aur apni blog par ads lagakar waha se bhi aap rupee kama sakte ho. apko sirf ak bar post likhani hai. fir jab bhi koi person us post ko read karega apko income hogi. to ye bhi ak passive income karne ke accha tarika hai. aap niche diya gaya video dekh sakte ho isame maine bataya hai ki aap kaise free me blog bana sakte ho. aur blogging ke bare me jyada jankari ke liye aap google par search kar sakte ho.
3 - App
friends aaj ham sabhi logo ke pass smartphone hai. fir chahe wo iphone ho ya android. ham sabhi log smartphone ko use karte hai. aur usame har ak kam karne ke liye ak app hoti hai. jaise video dekhane ke liye Mx Player. net surf karne ke liye tarh tarh ke app. photo edit karne ke liye bhi app. means har ak kam karne ke liye smartphone me app ki jarurat hoti hai. to aap chaho to in apps ko bana sakte ho. aur unko play store par dal sakte ho.
to friends hamane apko 3 online methods bataye jinko apply karke aap acchi khasi passive income kar sakte ho. isake liye apko kisi bhi investment ki jarurat hai. bas basic se equipment ki jarurat hai jaise laptop,mobile,internet jo ki aajkal sabhi ke pass availble hai. aur in methods ko koi bhi person apply karke passive income earn kar sakta hai. no matter who are you and what's your situation. to ye to thi online passive income earning methods ki bat ab ham kuchh offline methods ke bare me bhi bat kar lete hai.

fir jab bhi koi apki apps ko install karke usko use karega to apki income hogi. waise app create karna thoda sa technical kam hai. but aap thoda mehnat karoge to aap ye bhi kar sakte ho. apne bas ak app banakar usko play store par upload kar diya aur usame ads laga diye. bas apka kam khatam. ab jab bhi koi usko download karke use karega to usako ads dikhenge aur apki income hogi. to ye bhi passive income karne ka accha methods hai. thoda technical hai but believe me you can do.
to friends hamane apko 3 online methods bataye jinko apply karke aap acchi khasi passive income kar sakte ho. isake liye apko kisi bhi investment ki jarurat hai. bas basic se equipment ki jarurat hai jaise laptop,mobile,internet jo ki aajkal sabhi ke pass availble hai. aur in methods ko koi bhi person apply karke passive income earn kar sakta hai. no matter who are you and what's your situation. to ye to thi online passive income earning methods ki bat ab ham kuchh offline methods ke bare me bhi bat kar lete hai.
Offline Methods To Earn Passive Income -
4-Room Renting
Friends offline passive income methods me sabse accha tarika hai. aap room/house/apartment/flat ko rent (kiraye) par dekar passive income kar sakte ho. no doubt isame apko rupee invest karne padenge. pahle apko room banwane padenge. fir aap unko rent par de sakte ho. but agar aap chaho to isako aap small level par start kar sakte ho. aap apne ghar me hi koi aisa room nikal lo aur usko khali karke gate par ak board lagado To-let ka aur niche contact number aur price likh do.
jisko room ki jarurat hogi wo apse contact karke room le lega. aur apko iska monthly rent milta rahega. aur fir aap isko dhire dhire aur bade level par kar sakte ho. aap ak accha sa building banwao aur usame bahut se room banawao. aur ak person appoint kar do jo un rooms ko rent par de aur fir usase jo earning ho wo apko de. ak bar apne building bankar taiyar kar di. bas apka kam khatam. fir aap chahe jo karo apki monthly income aati rahegi.
5 - Investing
friends rupee invest karke unko badhana bhi passive income ka ak accha methods hai. agar apko share market ke bare me knowledge hai to aap share market me money invest karke waha se bhi earning kar sakte ho. but yaha mai recommend karunga agar apko share market ke bare me acchi information hai tabhi aap aisa kare otherwise nuksan ho jayega. but don't worry yaha mai apko kuchh investing methods apko batata hu jisame kabhi nuksan nahi hota. besak isame apko utna profit nahi hoga. but risk 0% hai. aap gold me invest kare. gold me invest karne ke kayyi tarike hai.
aap gold coin buy kar sakte ho. aur jab unka price jyada ho jaye to unko sale kar sakte ho. aap chaho to paytm par online gold me invest kar sakte ho. aur online hi sale bhi kar sakte ho. halanki yaha mai apko offline passive income ke methods bata raha tha. but aajkal aap sabhi log jante ho ki online offline duniya ak dusare se connected hai. to aise me ye sab chalta hai. aur agar aap thoda aur technical type ke person ho to aap cryptocurrency me invest kar sakte ho. but cryptocurrency aur share market me invest ke bare me tabhi sochana jab apko acchi knowledge ho otherwise nuksan aur froud dono ho sakte hai.
Conclusion -
to Friends aaj hamane yaha apko bataya ki passive income kya hai. aur apko 5 passive income earn karne ke tarike bataye jiname se kuchh online hai aur kuchh offline hai. to friends agar aap in sabhi methods ko apply kar lete ho fir to aap superstar ho. lekin agar aap iname se koi 1 ya 2 bhi methods ko acche se apply kar dete ho to apko kafi acchi passive income aani start ho jayegi. aur aap apni life ko enjoy kar paoge. aur rahi bat mehnat ki to bhai mehnat to karni padegi. lekin ak bar mehnat kar li to samajh lo zindagi safal. maine is post me passive income ke bare me puri jankari dene ki kosis ki hai. hope apko meri ye jankari pasand aayi hogi. agar apka passive income se related koi sawal hai to aap niche diye gaye comment box me comment karke puchh sakte ho.
0 Response to "What is Passive income ? and How To Make passive Income ? ( 5 ways in hindi )"
Post a Comment