How To Link Your Bank Account With Adsense Account ( Hindi )
friends isase pahle hamne ak post me apko bataya tha ki kaise aap apne google adsense account ko verify kar sakte ho. to agar apne apna google adsense account verify karwa liya hai to ab next step hai apko apni bank account ki detail ko adsense account me fill karna hai taki google adsense se apko payment receive karne me koi problem na ho. to chaliye aaj ham apko is post me detail se information dete hai ki kaise apko apna bank account google adsense account se link karna hai. aur apko kin kin chijo ki jarurat padegi.
is form me apko sabse upar wale option ko aise hi chhod dena hai. aur Name on Bank Account wale option me apko apna name dalna hai jo bank passbook me likha ho. 3rd option me apko Bank ka name dalna hai Jaise ( IDBI Bank , AXIS Bank , SBI Bank ) .
Google Adsense account ko Bank Account Se kaise Link Kare -
friends google adsense account ko bank account se link karne ke liye apko apne bank branch ke swift code ki jarurat padegi. to ab ham apko thoda swift code ke bare me jankari de dete hai.
What is Swift code and How To Get -
swift code foreign se payment receive karne ke liye hota hai. kyoki google american company hai isliye jo apko payment milega wo america se wire transfer ke jariye ayega. isliye apko swift code ko jarurat padti hai. swift code aap apni bank branch jakar pata sakte ho. lagbhag sabhi bank ka apna ak swift code hota hai. kuchh logo ko ye problem aati hai ki unaki bank ka swift code nahi hota hai to apko yaha tension lene ki jarurat nahi hai.
aap simple kisi dusari bank me account open karwa ligiye. waise agar aap bank manager se direct bat karoge aur usko bataoge ki mujhe america se payment receive karne ke liye swift code ki jarurat hai to wo apki help jarur karega. to ye tha method swift code apko kaisa milega. ab ham bat karte hai apko apne bank account details ko adsense account me kaise fillup karna hai .
How To Fill Bank Detail in Adsense Account -
1- sabse pahle apko niche di gayyi link par click karke Google adsense Dashboard me jana hai.
2- ab apko upar left side corner me home button ke pass press karke setting me jana hai waha se payments tab me jana hai aur fir apke samane ak page open hoga usame apko Add payment method par click karna hai.
Home Dashboard>setting>Payments>Add payment Method
3- Usake bad apke samane kuchh is tarh ka ak form open hokar ayega.
Add bank Account Detail Form |
aur 4th option me apko ifsc code dalna hai. and 5th option me apko swift code dalna hai. usake bad apko apna bank account Number dalna hai aur fir ak bar aur bank account number dalkar niche di gayyi save button par click karke save kar dena hai. niche do option jo bache hai unko aise hi chhod dena hai.
Conclusion -
to Friends ye tha pura complete process ki kaise apko apne bank account ko apne adsense account se link karna hai. i hope apko apna bank account adsense account se link karne me koi problem nahi ayegi. aap upar diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko ye sare step follow karke live video dikhaya gaya hai. aur agar apko fir bhi bank account ko adsense account me add karne me problem aa rahi hai to aap niche diye gaye comment box me comment karke apna question puchh sakte ho.
0 Response to "How To Link Your Bank Account With Adsense Account ( Hindi )"
Post a Comment