Youtube Monetization Yellow icon ko Blue icon me Kaise change kare - 100% Working Method

Youtube Monetization Yellow icon ko Blue icon me Kaise change kare - 100% Working Method

friends kya aap ak youtuber hai. agar hai to aap bilkul sahi jagah par hai. aajkal ke youtuber ke samane jo sabase badi problem aaj mai uska solution dene ja raha hu. ji hai aaj mai jis problem ke solution ki bat karne ja rha hu wah ab tak youtuber ki sabse badi problem hai. to chaliye batate hai problem kya hai ? dosto abhi pichale kuchh dino se youtube ne apni monetization policy me changes kiye hai. to chaliye pahle ham apko batate hai ki youtube ne apni monetization policy me kya changes kiye hai aur wah kis tarh youtuber ke liye ak badi problem ban chuke hai.

Youtube New Monetization Policy kya hai ? - 

dosto agar aap youtube par kafi dino se kam kar rahe honge to apko pata hoga ki youtube par video monetize karne ke bad usake samne ak blue $ ka symbol show hota tha. iska matlab apka video monetize hai. agar koi bhi is video ko dekhega to apki us video se earning hogi. aur aisa sabhi monetize videos me show hota tha. lekin ab aisa nahi hai. ab youtube ne kuchh monetization policy me changes kar diye hai. 
 
ab apko 2 type ke $ symbol video ke samne show honge. agar apka video content youtube ki new monetization policy ke favour me hai to us video ke samne Blue $ Ka symbol show hoga aur us video par ads show hogi aur usase apki earning hogi. aur agar apke video ke samne yellow $ ka symbol show hoga to samajh lo apka video youtube ki new monetization policy ke favour me nahi hai. yani usko follow nahi karta hai. to is case me apke video par bahut kam ads dikhaye jayenge aur apki earning bahut kam hogi. to ab aap soch rahe honge ki isame problem ki kya bat hai ham koi aisa video banayenge hi nahi jo youtube ki new monetization policy ko follow na kare. 

ji aapne iska solution to nikal liya. lekin agar apke video ke samane fir bhi yellow $ ka symbol show ho tab aap kya karenge. kyoki youtube ke employee kudh ye decide nahi karte hai ki apka video kaisa hai jo wo perfectly kam kare. youtube ne kuchh bots aur algorithm me aisa program kar rakha hai. jisase apka video automatic detect kiya jata hai ki ye video kaisa hai. is par ads aane chahiye ya nahi. to aise me bots bahut si galitiya kar deta hai aur aise videos par bhi ads nahi dalta hai jo monetization policy ko acche se follow karte hai. jisaki wajah se new youtuber ki income day by day decrease ho rahi hai. to agar apke sath bhi aisa ho raha hai. to tension na lo aaj mai apko youtube ki new monetization policy ka solution batane ja raha hu. 
Youtube Monetization Yellow $ icon ko Blue $ icon me kaise change kare

To chaliye ab bat karte hai solution ki ki kaise apko Yellow $ Ke symbol ko Blue $ ke symbol me change karna hai. kahne ka matlab hai. apko youtube bot ko ye bat kaise batani hai ki apka video monetization policy ke against nahi hai. 

Youtube Monetization Yellow $ icon ko Blue $ icon me kaise change kare -

1st Method- 
pahla method youtube ki taraf se official hai. agar apke videos ko youtube galati se apni is policy ke against samjh leta hai. aur apke video ke samane yellow $ symbol show karta hai. to aise me aap youtube ko manual review ke liye request kar sakte ho. youtube ke kuchh employee apke video ko manually dekhkar uska solution denge. 
manual review ke liye request kaise kare
lekin yaha par bhi youtube ke kuchh rules hai. agar apke videos par 7 days ke under 1000+ view aate hai to hi aap apne video ko manual review ke liye request kar sakte ho. to yaha par problem un youtubers ko sabse jyada aati hai. jinake subsriber kam hai. to unake videos par view kam aate hai to aise me agar unake video ke samne yellow $ ka symbol aa gaya fir to wo manual review ke liye request bhi nahi kar sakte. to pahla method un logo ke liye hai jinake acche subscriber hai aur unake videos par acche view aate hai to wo manual review ki request dal sakte hai. 

unka video 24 hous ke under manual review hokar ads show hone lagenge. lekin fir bhi apko nuksan hoga. kaise hoga mai apko batata hu jaise man lo apne koi video apne channel par upload kar di. aur us par yellow $ symbol aa gaya. to aap review ke liye request karoge. lekin jabtak apka video review hoga. tabtak lagbhag apke sabhi subscriber video ko dekh chuke honge. 
 
aur fir jab video review hokar ayega to kuchh khas view nahi ayenge. aur apki earning loss hogi. kyoki ak survey ke jariye ye pata chala hai ki kisi bhi youtube channel par video upload hone ke 24 hours ke bad lagbhag sabhi active subscriber us video ko dekh chuke hote hai. to kahane ka matlab ye hai youtube ki new monetization policy sabhi ke liye sardard ban chuki hai. chahe wo naye youtuber ho ya purane. but apko fir bhi tension lene ki jarurat nahi hai. aaj mai aap logo ko iska solution ak smart tarike se batunga.

2nd Method (Smart Way To Change Yellow $ Symbol into Blue)-

to solution kya hai. dhyan se suno. jab aap video ko upload karte ho to apko turrant video ko publish nahi karna hai. usko 1-2 din bad ke liye scheduled kar dena hai. fir apko youtube ke video manager section me jakar dekhana hai apki video ke samne yellow $ symbol hai ya blue agar blue hai to fir chaho to aap usko turrant publish kar sakte ho. aur agar yellow $ symbol hai. to apko niche diye step ko follow karna hai. ye step apki help karenge Yellow $ symbol ko blue $ symbol me change karne me. 

apko us video ko edit karke sabse pahle uska monetization off karna hai. fir title change karna hai. jo pahle title tha usko delete karke akdam naya title video se hi related likhana hai. usake bad apko video ka description bhi change karna hai. aur tags ko bhi. kuchh bhi purana nahi rahna chahiye. sabhi chijo ko akdam change kar do. usake bad video ko 1-2 din bad ke liye monetization off me hi scheduled kar do. aur fir 4-5 hours bad dobara video ka monetization on karo. jaise hi aap monetization on karoge apko blue $ symbol show hoga. fir kya aap us video ko turant publish kar do. thoda is process me apka time jarur lagega. lekin apki income down nahi hoga. apko full revenue milega. ye trick bilkul tested hai. 99.999% working hai. aap is trick ko apply karke dekho aur batao kaise lagi apko ye trick. aur apne fellow youtuber ke sath bhi is post ko share kare. taki unko bhi iska solution mil sake. 
To friends aaj hamane apko  bataya youtube ki new monetization policy kya hai. puri detail me jankari di. aur apko bataya ki is policy se agar apko problem aa rahi hai to kaise solve karna hai. i hope apk meri ye post apko pasand ayyi hogii. isase pahle bhi maine youtube se related ak post likhi thi jisame maine aap logo ko bataya tha ki kaisi youtube videos ko top par rank karna hai agar apne wo post nahi padhi to niche di gayyi link par click karke padh sakte ho. 

Click Here To Read - YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं

Aur agar apko upar bataye gaye steps ko follow karne me kisibhi tarh ki problem aa rahi hai to aap niche comment section me mujhse sawal puchh sakte ho. 

0 Response to "Youtube Monetization Yellow icon ko Blue icon me Kaise change kare - 100% Working Method"

Post a Comment