How To Get Refund from Myntra in Hindi

How To Get Refund from Myntra in Hindi

How To Get Refund from Myntra in Hindi - 

friends Myntra ak shopping site hai jaha par fashion se related chije sale ki jati hai. yaha se aap branded items ko acche rate me buy kar sakte ho. dosto maine myntra se abhi kuchh din pahle ak adidas ka bag buy kiya tha jo ki 1700 rs ka tha aur mujhe discount me 1300rs ka mil tha. to maine usko myntra se order kar diya tha. jab bag mujhe deliver huwa to wo bahut hi chhota bag tha. so mai paresan ho gaya ki maine isko pahle sahi se kyo nahi check kiya ab kya hoga mere to 1300rs waste ho gaye. 
how to return product and get refund from myntra in hindi
Return product and get refund from myntra 

Can we return items on myntra in hindi full information ?-  

fir maine myntra customer care se bat ki to unhone bataya ki agar apko bag pasand nahi hai ya fir aur kisi wajah se aap usko return karna chahte ho to kar sakte ho. apko apka paisa wapas mil jayega. fir kya maine turant return ke liye reuqest dal di aur kuch dino me mera paisa wapas mil gaya. to aaj mai aap logo ke sath apna myntra ka experiance share karne ja raha hu. aur agar apne bhi kuchh myntra se mangaya hai aur aap usko return karke refund pana chahte ho to yah post apke liye bahut hi kam ki hai. to sabse pahle mai apko ye batata hu ki apko return product ke liye request kaise karni hai. 
 

How To Request product return on myntra in hindi - 

dosto agar apne myntra se kuchh shoping ki hai aur apko wo pasand nahi hai ya fir aap kisi aur wajah se aap usko return karna chahte ho to apko sabse pahle apne emails ko check karna hoga jo ki apko myntra ki taraf se recieve hote hai. aapko us email ko find karna jo apko product deliver hone ke turant bad recieve huyyi ho. waha apko return aur exchange ke 2 option show honge. 
 
agar aap product ko wapas karke paise pana chahte ho to aap return ke option par click karke apni detail bhar sakte ho. waha apko apni bank detail deni hogi. aur apko ak address dalna hoga. jaha se courier boy akar us product ko lekar jayega. apko kahi bhi product ko dene jane ki jarurat nahi hai. jis packet me product aaya hai. apko firse usi packet me dobara product ko pack kar dena hai. aur delivery boy apke product ko lekar jayega aur apko ak slip de dega. 3-4 dino me apko apka refund apke bank account me mil jayega

aur agar aap us product ko wapas karke dusra product lena chahte ho to apko exchange ke option par click karke detail fillup karni hogi. baki sara process pahle jaise hi rahega. isame apko rupee ki jagah par dusra product milega. jo apne select kiya hoga. 
How To Request product return on myntra in hindi
apko email me kuchh is tarh ke option show honge.

aur aap myntra ki website ya mobile app par jakar bhi return ya exchange option ko select karke ye sara process kar sakte ho.

Does Myntra charge any refund fees Full information in hindi - 

 
agar aap janana chahte ho ki kya myntra koi charge leti hai return ka to mera jo experiance raha hai wo mai apko batata hu. mera jo product tha wo maine cash on delivery option par mangaya tha. aur free devilery thi to mere case me maine jitna bhi rupee product ke liye diya tha wo mujhe pura ka pura refund ho gaya tha. isake liye mai myntra ko thanks kahna chahunga. 
to ye tha mera myntra ke sath shopping experience. myntra ak acchi sites hai. usake sath mera bahut acha experience raha hai. agar apne myntra se kuchh mangaya hai aur aap usko return karna chahte ho. to aap kar sakte ho. aap niche diye gaye video ko dekh kar myntra refund process ki aur detail me jankari le sakte ho. 



i hope aap is post me di gayyi information apko pasand aayi hogi. agar apka myntra refund , return,exchange se related koi question hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. mujhe khusi hogi apki madad karke. By for now  ! take care ! have a nice day !.
Question Covered in This Post -
How do I return an item on Myntra ?
Can we return items on myntra?
Is there return policy in myntra?

Return and Exchange Policy of Myntra in hindi 

How to get refunded to my bank account from myntra ?

Does Myntra change any refund fees in hindi ?
..................and many other questions 

0 Response to "How To Get Refund from Myntra in Hindi"

Post a Comment