Aadhaar Card pdf ka Password kaise Open Kare ??
dosto agar aap internet se Aadhar card download karte ho to apko waha Aadhar card ki pdf file milti hai. aur usame ak password laga hota hai. to agar apko nahi pata ki uska password kya hota hai aur usko kaise open karna hai to aap bilkul sahi jagah par aaye ho aaj mai aap logo ko is post me batane ja raha hu Aadhar card ki pdf file ka password kaise open karna hai.
Why Aadhar Card pdf Password not working -
dosto aaj se kuchh din pahle internet se download ki gayyi Aadhar card ki pdf file ka password apke area ka pin code hota tha. jaise hi aap apna 6 digit ka area pin code enter karte the wo pdf file open ho jati thi lekin ab Aadhar authority ne kuchh changes kar diye hai. to agar aap bhi janana chahte ho ki ab Aadhar card ki pdf file ka naya password kya hai ( New Aadhar Card Password ) to chaliye mai aapko batata hu.What is New Password Of Aadhar Card pdf downloaded file ?
jaise ki maine upar bataya ki ab Aadhar Authority ne kuchh changes kar diya hai. to ab aap soch rahe honge ki naya password kya hai. ab jo Aadhar ka naya password hai wo thoda sa complicated hai i mean hard hai. lekin aap presan na ho mai apko abhi batata hu ki aap apne Aadhar card ka password kaise pata kar sakte ho.
- Read Also - Aadhar Card Ko Sim Card se kaise Link Kare ?
1- sabse pahle apko Aadhar card ki reciept par apko apna name english me dekhna hai ki kya likha hai. jaise man lo mera name mahesh kumar likha hai.
2- ab apko dekhana hai ki apki date of birth Aadhar card ki reciept par kitni likhi hai. to jaise ki meri dob - 16-07-1999 hai. to chaliye apne itna kam kar liya hai. ab ham apko batate hai ki apko apna Name aur Dob milakar naya Aadhar card ka password kaise banana hai.
How To Create New Aadhar Pdf password -
Aadhar card pdf ka naya password banane ke liye apko apne name ke first 4 digit lene hai aur dob ke last 4 digit yani ki apka dob ka year. jaise mai example lekar apko batata hu. upar maine apna name bataya hai Mahesh kumar aur dob 16-07-1999 to mera naya Aadhar card ka password mahe1999 huwa hai. isi prakar aap bhi apne Aadhar card ki download ki huyyi pdf file ka password pata kar sakte ho. dhyan rahe pura password apko small letters me enter karna hai.
i hope aap bhi is post ko read karne ke bad apne Aadhar ki download ki huyyi pdf file ka naya password pata kar payenge. agar apko yah jankari acchi lagi to apne dosto ke sath jarur share kare kyoki yah jankari bahut hi kam logo ko pata hai. aur kafi log is bat ko lekar presan ho rahe hai. Thanks for Reading. have a nice day keep visiting kalpesu.com for more interesting information.
Read Also -
0 Response to "Aadhaar Card pdf ka Password kaise Open Kare ??"
Post a Comment