Tatkal Train Ticket Confirm na Hone par Kya kare
friends kya apne tatkal train ticket book kiya tha lekin wo confirm nahi huwa aur aap janana chahte ho ki ab mai kya karu. to aap bilkul sahi jagah par aaye ho aaj mai aap logo ko bataunga ki agar apne tatkal train ticket online book kiya hai lekin wo confirm nahi huwa to ab apko kya karna hai. dosto pahle mai aap logo ko kuchh online tatkal train ticket booking ke kuchh rules bata deta hu.
jaise tatkal train ticket ki booking aap journey ke ak din pahle ac ke liye morning me 10 baje kar sakte ho. aur non ac ke liye morning me 11 baje se booking start hoti hai. ab jaha mai aap logo ko reason bhi bata deta hu ki tatkal ticket apka confirm kyo nahi hota hai.
Rules For Booking Tatkal Train Ticket in Hindi -
- Read Also - दुनिया के इन 5 देशों में नहीं होता है सूर्यास्त
Tatkal Ticket confirm kyo nahi hota hai ?
jaise ki aap sabhi log jante ho india ki population bahut jyada hai isi wajah se bahut jyada log idhar udhar travel karte rahte hai. to aise me hota kya hai. jab tatkal train ticket ki booking start hoti hai to irctc ki website par bahut jyada log visit karte hai jisaki wajah se website slow ho jati hai. to aise me jinake pass fast internet connection hai unka ticket confirm ho jata hai. to yaha par aap logo ke liye yahi tips hai ki agar aap chahte ho ki apka ak hi bar me tatkal train ticket confrim ho jaye to aap fast internet connection ka use kare (3g,4g broadband) 2g connection par kabhi bhi train ticket book karne ki galati na kare. to ab apne jan liya ki tatkal ticket confirm kyo nahi hota hai. ab mai aapko batata hu ki agar apka tatkal train ticket waiting me chala gaya hai to ab apko kya krna hai.
Tatkal Train Ticket Confirm na Hone par Kya kare -
agar apka tatkal train ticket confirm nahi huwa hai aur wah waiting me chala gaya hai. to ab apko wait karna hai apne chart prepared hone ka. normally chart train chalane se 1 ghante pahle prepare ho jata hai. to apke kuchh chances hai ki apka chart prepare hone tak yani train chalane se 1 hour pahle tak train ticket confirm ho skta hai. ( aap apne pnr number ki madad se apne ticket ka status online check kar sakte ho ki apka ticket confirm huwa hai ya nahi. ) lekin agar apka fir bhi train ticket confirm nahi huwa hai. to bhi apko tension lene ki jarurat nahi hai. apko apka rupee wapas mil jayega. ab apko batate hai ki apko refund kaise milega.
Tatkal Ticket Confirm na hone par ticket cancel karke refund kaise le-
dosto agar apne tatkal train ticket book kiya tha lekin wo wating list me chala gaya aur chart bhi prepared ho gaya hai. to ab apko kuchh bhi nahi karna hai. apka ticket automatic cancel ho jayega. aur apne jis bhi method se payment kiya tha apko usi me apka amount wapas mil jayega. *kuchh charges irctc wale kat lete hai. jaise man lo maine tatkal train ticket book karte time apne atm card ka use kiya tha to mujhe refund mere bank account me ayega jis bank account ka wo atm tha. i hope aap meri bat samjh pa rahe honge.
to dosto agar apka bhi tatkal train ticket confirm nahi huwa hai to tension lene ki jarurat nahi hai. apko apka refund mil jayega. agar apka tatkal train ticket booking se related koi bhi question hai to aap comment karke puchh sakte ho. aur maine isake regarding ak video banaya hai usame maine apko proof dikhaya hai ki mujhe kaise refund mila tha. aap us video ko dekhkar aur bhi jankari le sakte ho.
Click Here To Watch Video - Tatkal Train Ticket Confirm Na Hone par Kya Kare ?
Question Covered in this post -
Question Covered in this post -
Tatkal Train Ticket Booking time ?
Tatkal Train Ticket not confrimed what should i do ?
How To Cancel Tatkal Train Ticket ?
How to Get Refund from Irctc when tatkal ticket not confirmed ?
Can we cancel waiting Tatkal Ticket ?
what the procedure to get refund from irctc ?
0 Response to "Tatkal Train Ticket Confirm na Hone par Kya kare "
Post a Comment