Laptop ki Ram kaise change kare
hello dosto kya aap janna chahte ho ki laptop ki ram ko kaise change karte hai. ya fir laptop me new ram kaise add karte hai. to aap bilkul sahi jagah par aaye hai aaj mai aap logo ko is post me batane ja raha hu ki aap laptop ki ram kaise change kar sakte ho. aap is post ko padhkar aram se apne laptop ki ram ko change kar sakte ho. to chaliye batate hai laptop ki ram change karne ke liye apko kya karna padega.
Laptop ki Ram kaise change kare -
1- laptop ke ram change karne ke liye sabse pahle apko apne laptop ko switch off karna hai usake bad laptop ki back side ko dekhna hoga. waha par apko ak slot dikhega usko apko pech ki madad se open karna hai.
2- usake bad agar aap usame 2 ram lagana chahte ho to apko new ram add karna hai. aur agar aap pahli wali ram ko nikal kar new ram lagana chahte ho to aap ye bhi kar sakte ho. lagbhag sabhi laptop me 2 ram lagane ka option mil jata hai.
3- usake bad apko dobara waise hi laptop ke ram slot ko band kar dena hai.
4- ab apko laptop ko switch on karna hai. aur apko My computer ki properties me jakar check karna hai. agar apki ram sahi se add hogi to apko waha show ho jayegi.
to friends ye the kuchh basic steps jinko follow karke aap apne laptop ki ram ko change kar sakte ho. in sabhi steps ko kaise karna hai. yah janane ke liye aap niche diye gaya hamara live video dekh sakte ho usame maine bataya hai aur aap logo ko dikhaya bhi hai ki kaise ram change karna hai. aur kaise apko check karna hai ki ram sahi se lagi hai ya nahi.
Agar apko laptop ki ram change karne me kisibhi tarh ki problem aa rahi hai to aap niche comment karke apni problem ko hamse discuss kar sakte ho. agar aap hamari is post ko padhkar aur hamare video ko dekhkar aap apne laptop ki ram ko ghar baithe hi change kare liye to isase badhkar hamare liye aur khusi ki kya bat ho sakti hai.
0 Response to "Laptop ki Ram kaise change kare"
Post a Comment