Nepal Kaise jaye - Nepal Jane ke liye Jaruri Bate

Nepal Kaise jaye - Nepal Jane ke liye Jaruri Bate

friends kya aap Nepal jana chahte hai. aur apko nahi pata hai ki Nepal jane ke liye apko kin kin chijo ki jarurat hogi. aur aap Nepal kaise ja sakte hai. to chaliye aaj ham apko Nepal travel ki jankari dete hai. friends ye jankari sirf indian yani ki bhartiya logo ke liye hai kyoki sabhi desho ke liye jane ka alag procedure hota hai. so mai indian hu aur mai ak bar Nepal gaya tha to isiliye mujhe thoda bahut knowledge hai wahi mai aap logo ke sath share karne ja raha hu. to chaliye suru karte hai. 

Nepal Kaise jaye + Nepal Jane ke liye Jaruri Bate -

to friends agar aap ak indian hai aur Nepal jana chahte hai to apke pass Nepal jane ke bahut se tarike hai. sabse pahla aur easy tarika hai ki aap apni motercycle, car ya koi other vehicle lekar ja sakte ho. vehicle le jane ka process kya hai mai aage bataunga. dusra tarika hai ki aap bus se ja sakte ho. Delhi se Nepal ki Rajdhani Kathmandu ke Liye apko bus asani se mil jayegi. baki aur bhi jagaho se apko bus mil jayengi lekin mai centre poin lekar chal raha hu. aur 3rd tarika hai ki aap Plane yani ki flight se bhi Nepal ja sakte ho. Flight apko Lucknow to kathmandu ya Delhi to kathmandu mil jayegi. to ye to the method ki kaise aap Nepal Ja sakte ho. ab ham bat karte hai kuchh legal Documents ki jo apko jarurat hogi Nepal jane ke liye

Kya Nepal Jane ke liye Visa Passport ki Jarurat Hai ? - 

friends ye question kafi sare indian logo ke mind me hota hai. infact mere mind me bhi tha. ki kya hame Nepal jane ke liye Visa passport ki jarurat padti hai ? to friends iska answer hai nahi. apko Nepal jane ke Liye kisi bhi tarh ke Visa Passport ki Jarurat hai. Aap simple apna Indian id card lekar Nepal Ja sakte ho. fir wo chahe apka voter id card ho , Aadhar card ho ya driving lincense. waise apko jarurat iski bhi nahi padegi. lekin fir bhi aap indian id card liye jana. because agar kuch gadbad huyyi to aap proof kar sakte ho ki aap indian hai. to friends ye to hamane bat kar li ki Nepal Jane ke liye Visa passport ki jarurat hai ya nahi

Nepal Me indian Vehicle Le Jane Ka Procedure - 

ab ham bat karte hai ki vehicle (वाहन) le jane ke liye apko kisi extra document ki jarurat hai ya nahi. to friends agar aap apni motercycle ya car lekar Nepal jana chahte ho to apko sabse pahle to apne car ka insurence, Registration apka proper driving lincense hona jaruri hai. baki aur bhi important document lekar jana hai. jo apke vehicle se related ho. 
aur agar bike se ja rahe ho to per person ak helmet hona chahiye. bas aur aap Nepal ja sakte ho jab aap Nepal-India Border par pahuchoge to waha apko wo document dene honge aur wo apko ak reciept de denge. aur kuchh rupee charge karenge jo ki legel hai. aur apko ak time period diya jayega. apko us time period me hi Nepal tahal Ghoom kar return aa jana hai. aur apne document border se lekar india aa jana hai. 

Kya Nepal Me Indian Rupee Chalenge ? -

to friends agar aap Nepal Ja rahe ho to Obvious si bat hai aap waha kuchh din rukoge to waha aap khana khaoge aur kuchh chije jo apko acchi lagengi unko aap apni Nepal Travel ko Yad rakhane ke liye buy bhi karoge to aise me bahut hi simple sa question hai ki Nepali Log indian rupee accept karenge ya nahi. to friends iska answer hai yes. Nepal me indian Currency har koi badi hi asani se accept kar leta hai. aur currency se related koi problem nahi ayega. aur agar apke rupee kam pad jaye to aap Nepal me lage ATM se money withdraw bhi kar sakte ho. lekin waha kuchh banks ke hi atm work karte hai. so apka account jis bhi bank me hai aap ak bar apni bank branch jakar confirm kar le ki hamara atm card Nepal me work karega ya nahi. 

Nepal Se india ko Phone call kaise kare ? -

friends agar aap Nepal ja rahe ho to ye apke liye ak common question ho skta hai. agar aap bhi janana chahte ho ki Nepal se india ko call kaise karenge to chaliye mai batata hu ki Napal se india Phone call karne ke liye apko kya karna hoga. apke pass 2 option hai. aap chaho to Nepal jakar waha ki tourist sim indian id dekar buy kar sakte ho. aur usko apne phone me dalkar aap india ko call kar sakte ho. apne faimily ko bata sakte ho ki aap kaha par ho kitne din me wapas aoge ya fir jo bhi aap kahna chahte ho. 2nd option hai agar aap 1-2 din ke liye Nepal ja rahe ho aur aap nepali sim buy nahi karna chahte ho to aap kisi nepali ka phone lekar ya PCO par jakar bhi india ko call kar sakte ho. 
to friends apke man me sayad ak aur question hoga ki kya Nepal me indian telecom company jaise ki airtel,vodafone,idea,bsnl,uninor inne waha network ayenge ya nahi. to friends mera experience jo raha hai mai apko batata hu. waha sirf  Airtel aur Tata Docomo ki sim me network aa rahe the. lekin international roaming lag rahi thi. so agar aap international roaming me incomming ya outgoing call karte ho to apko bahut jyada extra charge lagenge to mera yahi suggestion hai aap apne india ke sim ko band hi rakhe. 

To friends maine yaha apko Nepal jane ke bare me almost sabhi jankariya de di hai. to agar aap India se nepal ja rahe ho aur apka koi Question hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. aur jab mai Nepal gaya tha to maine waha ka ak video bhi record kiya tha usame bhi maine Nepal traveling ke bare me bahut jankari di hai to aap usko bhi dekh sakte ho. 
Mujhe Umeed hai is video ko dekhane ke bad apke Nepal Travel ke bare me Sare doubts clear ho gaye honge. 

0 Response to "Nepal Kaise jaye - Nepal Jane ke liye Jaruri Bate "

Post a Comment