IIT Kya hai - IIT ki Taiyari Kaise kare

IIT Kya hai - IIT ki Taiyari Kaise kare

Dear Friends kya apne IIt ke bare kahi se suna hai aur aap janana chahte ho ki iit kya hai to aap bilkul sahi jagah par hai aaj mai aap logo ko iit kya hai iski puri jankari dene ja raha hu. aur apko batane ja raha hu ki iit exam ki taiyari apko kaise karna hai. to friends sabse pahle to mai apko ye bata deta hu ki iit exam sirf unhi logo ke liye hota hai jinhone 12th science streem se kiya ho aur unake pass math subject ho. biology wale iit ka exam nahi de sakte hai. so agar aap iit exam ki taiyari karke ak iitian banna chahte ho to apko is bat ka dhyan rakhna hoga. to chaliye ab ham apko detail me batate hai ki akhir iit hai kya. 

What is iit ~ iit kya hai - 

friends to chaliye sabse pahle apko iit ka full form kya hai ye batate hai. iit ka full form hota hai. Indian Institutes of Technology isaki suruwat Jawaharlal Nehru ne 1847 me ki thi. Total iit ke india me 23 campus hai. iname se iit delhi,iit kanpur,iit mumbai,iit Roorkee famous institute hai. to friends ye to thi iit ke bare me basic information ab apko batate hai basically iit me hota kya hai
Indian Institute Of Technology Delhi (IIT)
to friends iit ka Exam hota hai. exam 2 parts me hota hai. iit main + advance agar aap iit main exam ko pass kar lete ho to aap iit advance ke liye apply karne ke liye eligible ho. agar aap iit advance exam ko bhi pass kar lete ho to apko iit ke colleges me entrance milega fir aap waha se B.tech karoge aur usake bad aap fir chaho to M.tech ya P.hd bhi kar sakte ho. to basically iit ak technical institute hai. agar aap technology me interest rakhte hai aur scientist banna chahte ho to apke liye iit best hai. to ab apne ye samjh liya ki iit kya hai. aur iit karne se kya hota hai. to ab ham bat karenge ki iit ki taiyari kaise kare

IIt ki Taiyari kaise kare - 

to friends iit ka exam kafi hard hota hai isake liye apko kafi jyada mehnat karne ki jarurat hoti hai. to chaliye ham apko iit exam ki taiyari kaise karni hai isake bare me kuchh jankari dete hai. friends accha rahega ki aap 11th class se hi iit ko target karke apni study start kare. iit me bhi Physics Math Chemistry ke hi question aate hai. to agar apka 11th aur 12th accha hai to apke liye iit ki taiyari karna thoda asan ho jayega. so agar aap abhi 11th ya 12th me ho to aap sahi se study karna start kar do. 
 
friends jyadatar log iit exam dene ke liye 12th ke bad 1 year only iit ki preparation karte hai. wo coaching institute join karte hai. waha par unko iit exam ke bare me bataya jata hai usaki prepration karayi jati hai. aur kuchh log 11th aur 12th study karne ke sath hi sath iit ki bhi taiyari karte rahte hai. aur 12th pass hone ke bad iit exam ka form dalte hai. to apke pass yaha par 2 option hai agar aap padhayi me acche ho to aap 12th ke sath me bhi iit ki coaching join karke study kar sakte ho. ya fir aap 12th ke bad 1 year sirf aur sirf iit ki coaching karo. to mera yahi suggestion hai ki aap 12th ke sath me hi iit ki bhi preparation kare aur apni puri takat laga de. agar iit exam me pass ho gaye to acchi bat nahi to 1 year aur preparation kar lena. 

to ab bat ye aati hai ki hame iit ke question ko koun samjhayega. kyoki jo apke school ya colleges ke teacher hai wo to apko batayenge nahi. aur agar aap 11th ya 12th ki coaching kar rahe ho to wo teacher apke kuchh question ke answer de sakte hai. lekin sabhi question ke wo bhi nahi de payenge because iit bahut hard exam hai. apko isake liye kisi iit specialist teacher ki jarurat padegi. aur apke pass itna time nahi hoga ki aap dusare teacher ki bhi class join karo jo apko sirf iit ki taiyari karwaye. to yaha mai apko kuchh tarike bata raha hu jinko apply karke aap apni study aur iit ki taiyari ak hi sath kar sakte ho. 
 

How to Prepare IIt Along with study in hindi -

Study aur iit ki taiyari ak sath karne ke liye apke pass 3 option hai .

1- aap 11th ya 12th wali coaching na jakar sirf iit ki coaching jaye waha se kya hoga jab aap iit ki coaching jaye waha bhi apko wahi topic padhaye jayenge jo apke 11th aur 12th ke exam me aane hai. kuchh topic ya chapter idhar udhar ho sakte hai unko apko college ke teacher se sikhna padega. 

2- aur apke pass 2nd option hai ki aap online iit ki preparation karo. online apko youtube par aise bahut se channel mil jayenge yaha par aap free me online ghar baithe iit ki taiyari kar sakte ho. youtube par aap Etoos education channel ko dekh sakte ho. waha se aap unki videos ko dekhkar iit ki preparation kar sakte ho. halanki youtube par kuchh aise logo ne bhi videos dali hai jinko iit ke bare me acchi knowledge nahi hai. so aap unase bachkar rahe. 
 
etoos education par prince sir chemistry ke bare me acchi jankari dete hai baki aur bhi teacher hai jo apko physics aur math ki jankari denge. lekin wo itane acche hai. to aap youtube par isi tarh math aur physics ke prepration ke liye koi dusra teacher search kar sakte ho. kuchh log aise bhi hote hai jo iit course ki cd bhi sale karte hai. aap chaho to unko bhi buy karke sikh sakte ho. 

3- aur agar aap 12th pass karne ke bad sirf 1 year iit ki taiyari karna chahte ho to mera yahi suggestion hai aap. kota city chale jayiye. ye Rajasthan me padta hai. waha IIt ki apko best coaching mil jayegi aur apko iit ka accha environment bhi mil jayega. kota ke bare me jyada janane ke liye aap niche di gayyi link par click karke puri jankari le sakte ho. 

To Friends is post me maine apko bataya ki iit kya hota hai iit jee and advance ke bare me jankari di. aur apko bataya ki kaise iit ki taiyari karni hai. i hope apko samjh me aa gaya hoga. aur agar apka iit se related koi bhi question hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. 


0 Response to "IIT Kya hai - IIT ki Taiyari Kaise kare "

Post a Comment