Kota IIT Ki Taiyari Karne Ja Rahe Ho To Dhyan Rakho Ye Bate
Dear Student agar aap kota iit ki taiyari karne ja rahe ho. to mai yaha apko kuchh aisi bate batane ja raha hu. jo apki bahut madad karengi. friends india me bahut se aise student hai jo kota jakar iit ki coaching karna chahte hai lekin unko kota ke bare me koi puri jankari dene wala nahi hai. unko kuchh bate to pata hai kota ke bare me isiliye unhone kota se iit ki taiyari karne ka plan banaya lekin jo bate nahi pata hai. unko batane wala koi nhi hai. to agar aap bhi uname se hi hai aur apko bhi nahi pata ki kota jakar iit ki taiyari kaise kare. to aap bilkul sahi jagah par hai.
aaj mai aap logo ko is post me kota iit preparation ke bare me detail se jankari dene wala hu. yaha mai apko wo sabhi jankari provide karunga jo ak student ko janani chahiye. aur agar aap akele hi kota jane ke bare me soch rahe ho. matlab apke sath kota jane wala koi nahi hai to bhi aap is post ko padhane ke bad ja sakte ho. kyoki mai bhi akele hi gaya tha. mera kota rajasthan me koi janane wala nahi tha. aur mujhe kota jakar apne brother ka admision karwana tha. to maine kya kya problems face kari aur maine unko kaise solve kiya sari bate batayenge.

Kota IIT Ki Taiyari Karne Ja Rahe Ho To Dhyan Rakho Ye Bate -
to friends chaliye suru karte hai. apko kin kin bato ko dhyan me rakhna hai. sabse pahle to apko decide karna hai ki apko kota jakar kis coaching me admission lena hai aur kis chij ki taiyari karni hai. waise to kota sirf iit jee prepartion ke liye famous hai. lekin yaha kuchh students akar medical aur CA ki bhi prepartion karte hai. to agar aap Science math ke student hai to obvious si bat hai ki iit ki prepartion ke liye kota jana chahte ho. lekin agar aap science biology ya commerce ke student ho to aap medical ya CA ke liye kota jana chahte honge.
Top 5 IIT Coaching institute in Kota -
to chaliye mai apko kuchh coachings ke name bata deta hu. jo kota ki top coachings hai.
Allen Career Institute , Resonance, Bansal, Vibrant, Akash ye kota ki Top Coachings hai. baki apko kota me aur bhi bahut se coaching centre mil jayenge lekin mai apko un coachings me adimission lene ke liye recommend nahi karunga.
Kota iit preparation Fees -
to ab bat karte hai. ki kota me iit ki taiyari karne ke liye kitani fees deni hogi. to dekho sabhi coachings ki fees alag hai. apko jis bhi coaching me admission lena hai. aap us coaching ki website par jakar unaki fees kitni hai aur kitni installment me pay karni hogi aap usko check kar sakte ho.mai apko Kota ki Kuchh Top coachings ki webiste ki link niche de raha hu.
Allen Career Institute Kota - https://www.allen.ac.in
Resonance - www.resonance.ac.in
Bansal Classes - http://www.bansaliitjee.com
Vibrant Academy Kota - http://www.vibrantacademy.com
Akash - http://www.aakash.ac.in
aap in websites par jakar fee ki detail check kar sakte ho. friends kuchh kota ki coachings hai wo hostel ki suvidha bhi deti hai. lekin agar aap ak middle class faimily se ho aur apka budget kam hai to aap hostel ko prefer na kare. waha apko kafi mahnga padega aap normal room rent se lakar kota me aram se rah sakte ho. infact agar aap hostel ko fee effort bhi kar sakte ho to bhi mai apko recommend nahi karunga ki aap kota jakar kisi hostel me rahkar iit ki preparation karo iska reason kya hai mai apko batata hu.
aap jab pahli bar kota jaoge aur hostel me rahoge to starting me to apko waha acchi service di jayegi aur apko accha khana diya jayega. lekin jaise jaise din gujarenge apko bahut si problem ayengi jaise apko khana accha nahi milega. to mai nahi chahta ki apko apni study ke bich me problem ho to sabse accha hai room rent se le lo. waha aram se raho aur study karo. to ab apke mind me aa raha hoga ki agar ham room rent se lete hai to hame khana khud banana padega. to dosto mai apko kota student ki hakikat batata hu.
kota me jo log rent se room dete hai unko pata hota hai ki yaha sabhi student aate hai to wah usi hisab se apne rooms ko design karwate hai aur waha apko room me 1 bed,table,chair,almirah ye sab chije bhi dete hai. kyoki kota me kafi door-door se student aate hai to wo ye chije sath me to lekar nahi ayenge na. so ye bhi kota ki ak acchi bat hai.

kota me 99% student apne aap khana nahi banate hai. wo mess ( भोजनालय ) ka khana khate hai to aap bhi yahi kar sakte ho. month me apko 3000rs mess ka pay karna hai aur apko daily 2 times khana diya jayega. apko khana khane ke liye mess jana padega. aur apko 3000rs me room bhi mil jayega. to apko sirf month me rahne aur khane ke liye 6000rs aur 2000rs aur kharcha rakh leta hu jaise ki copy pen pencil and some other work to total apke 8000rs huye. wahi apko hostel me 10-15000rs pay karne padenge. so mere hisab se hostel se accha hai aap khud rent ka room le lo.
kota me jo log rent se room dete hai unko pata hota hai ki yaha sabhi student aate hai to wah usi hisab se apne rooms ko design karwate hai aur waha apko room me 1 bed,table,chair,almirah ye sab chije bhi dete hai. kyoki kota me kafi door-door se student aate hai to wo ye chije sath me to lekar nahi ayenge na. so ye bhi kota ki ak acchi bat hai.
Kota IIT Coachnigs Admission Procedure in Hindi -
friends ab thoda kota me jo coachings hai unka admission process jan lete hai. kota me jitani bhi top coachings hai uname admission lene ke liye apko ak scholarship test dena hota hai usame jis hisab se apke marks ayenge apko utani hi percentage apko kam fee deni padegi. to agar aap below average family se belong karte ho aur apko belive hai ki aap accha perform kar sakte ho to aap yaha test dekar free me bhi study kar sakte ho. dosto ye test sabhi ke liye mandatory hai isake bina admission nahi milega. aur agar apne pahle se hi iit jee ka exam de rakha hai aur apki usame cut off clear ho gayyi hai to apko us base par bhi admission mil jayega aur apko kuchh fee me discount bhi mil jayegi. to is case me apko coachings ka entrance exam nahi dena padega.
to ab ak aur bade confusion ki bat kar lete hai. kuchh student ka ye confusion hota hai ki kota me jo coachings hai waha english me padhaya jata hoga aur ham to hindi medium ke student hai hame to kuchh samjh me hi nahi ayega. to bhai aisi bat nahi hai apko waha 2 type ki batch mil jayengi to agar apko english aati hai to aap english wali batch me admission karwaye aur hindi aati hai to hindi wali me. waise english wali batch me bhi pure english me nahi padhya jata hai waha bhi hindi boli jati hai. kyoki yaha sabhi indian student hi hote hai. aur mostly teacher bhi indian hai so indian ki favorite language hindi hi hai.
to friends ye kuchh bate thi mere mind me jo maine apko batayi mere hisab se ye problems naye student ko aa sakti hai jo kota jakar iit ki taiyari karna chahte hai.aur jyada janane ke liye aap hamara video dekh sakte hai. jab mai kota gaya tha apne brother ka admission karwane tab maine wahi room me baith kar ye video banaya tha. isame maine apko kota ke bare me aur kota student life ke bare me bahut kuchh bataya hai. to agar aap kota jakar iit ki taiyari karna chahte ho to apko ye video jarur dekhna.
aur friends agar apka kota student life, iit ki taiyari karne se related koi bhi question hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. mai mostly 24 hours me sabhi comment ke replay kar deta hu. so aap apna question comment me drop karne ke 24 hours ke bad check kare ki apke question ka replay mila ya nahi. Thanks for Reading. Have a nice Day.
0 Response to "Kota IIT Ki Taiyari Karne Ja Rahe Ho To Dhyan Rakho Ye Bate "
Post a Comment