Marriage Card Printing Business kaise start kare

Marriage Card Printing Business kaise start kare

 
Dosto kya aap marriage card printing business start karna chahte ho aur apko nahi pata yah kaise start kare to aap bilkul sahi jagah par aaye hai. aaj mai aap logo ko bataunga ki kaise aap shadi yani ki marriage card printing ka business start kar sakte ho. dosto marriage card printing business ko chhote level se start karne ke liye apko minimum 5000rs ka invest karna padega. aur aap only 5000 rs invest karke marriage card printing ka business start kar sakte ho. to chaliye fir apko batate hai isake liye kin kin chijo ki jarurat hoti hai. aur kaise apko ye sab arrange karna hai. 
Indian marrige wedding card printing business starting guide 

Marriage Card Printing Business kaise start kare- 

 
agar apne ye kam start kar diya to aap isase kewal shadi ke hi card nahi balki aap shadi, mundan,birthday,business invitation..... aur bhi bahut tarh ke card chhap sakte ho. to chaliye fir apko batate hai ki kaise apko ye business start karna hai. sabse pahle mai aapko yaha un chijo ka name batata hu jo apko printing business start karne ke liye jaruri hai. waise is business ko printing press business bhi kahte hai. 
1- computer 
printing press business ko start karne ke liye apke pass computer hona chahiye. computer me apko coreldraw ya pagemaker software ka use karke pahle shadi ya jo bhi apke pass order ayega uska matter type karke taiyar karna padega. to isake liye apke pass computer ki jarurat padegi. ak accha computer printing press business ke liye 20-25000 rs ka mil jayega. niche di gayyi link par click karke aap computer online buy kar sakte ho. yaha mai apko recommend karunga ki aap laptop ko buy kare. 
aur agar apke computer nahi hai aur aap computer buy nahi kar sakte ho to koi problem nahi hai aap kisi dusari shop se bhi ye kam karwa sakte ho. 
 
2- Printer 
printing business start karne ke liye apke pass ak laser printer hona chahiye jisase aap computer me corel draw par banya gaya matter bahar butter paper par print kar sako. accha aur average laser printer apko 6000rs me mil jayega aap is link par click karke printer ko online buy kar sakte ho. 
lekin agar apke pass computer nahi hai to apko printer bhi lene ki jarurat nahi hai. aap ye kam kisi dusari shop se 20-25rs dekar karwa sakte ho. bad me jab apka business achha chalane lage to aap computer aur printer ko buy kar sakte ho. 

3- Printing Material 
ye to the kuchh basic stuff. ab apko batate hai main printing material jo apko printing press business start karne ke liye jaruri hai. 
ye business start karne ke liye apko in chijo ki jarurat padegi  

"butter paper, printing screen frame, bicromate,nitro, printing ink, printing rubber, super coat, bleeching, glass 1.5x3 feet, marriage blank card"

ye sara material apko 5000 rs me aram se mil jayega. computer aur printer ko chhod kar. ab mai aapko batata hu ye sab saman apko kaha se milega. ye saman apko online nahi milega ye sab apko offline apke city se buy karna padega. aap jaha bhi rahte hai waha aspas jo bhi badi city ho aap waha ki printing press shop par jakar puchh sakte ho apko ye material kaha se milega. wo apko bata dega. ho skta hai ak do apko batane se mana bhi kar de lekin jab aap kayyi logo se puchoge to apko koi na koi to bata hi dega. yaha mai aap logo ko ak tip deta hu aap kisi small printing press shop par jakar puchho wo apko bata dega. ye sara saman buy karne se pahle mai aapse kahna chahunga ki aap kisi printing shop par 1-2 month kam kare bhale hi wo apko kam karne ki rupee na de.isase aap aur acche se samajh payenge ki apko business kaise karna hai. yaha kya kya problems aati hai. aur unko kaise handle karna hai. apko waha se bahut kuchh sikhane ko milega. 
 
usake bad aap ye sab saman buy karke apna khud ka printing press business start kar sakte ho. maine ak printing press ki shop me jakar ak video banya tha usame maine bataya tha ki apko kin chijo ki jarurat hoti hai printing press business start karne ke liye. to aap log us video ko dekhe 
agar apka printing press business start karne se related koi bhi sawal hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. 

0 Response to "Marriage Card Printing Business kaise start kare"

Post a Comment