Reservation Train Ticket Cancel Kaise Kare
Friends aaj mai aapko Reservation Train Ticket cancel karne ka process batane ja raha hu. aur Ticket cancellation se related aur bhi kuchh jaruri bato par charcha karenge. Previous post me maine bat kiya tha ki kaise aap Reservation Train Ticket ko Book kar sakte ho. so friends kabhi kabhi hota hai ki ham Train Ticket book kar dete hai but kisi karan ham journey nahi karna chahte hai to is condition me aap ticket ko kaise cancel kar sakte ho. mai is post me apko bataunga.
https://www.irctc.co.in
Step 2- Fir Apko IRCTC ke homepage par ak Cancel Ticket ka Button show hoga us par click karna hai.
Confirmed Reservation Train Ticket Cancel Karne ka Process -
Step 1- Friends Reservation Train Ticket cancel karne ke liye apko irctc ki official website par jakar id password dalkar login karna hai.https://www.irctc.co.in
Step 2- Fir Apko IRCTC ke homepage par ak Cancel Ticket ka Button show hoga us par click karna hai.
Step 3 - usake bad apne jitane bhi Ticket Book kiye honge unki list samne aa jayegi. fir apko usame se jo bhi ticket cancel karna hai aap usko select karke cancel kar sakte ho.
* Ticket cancel hone ke bad bacha huwa Amount apke bank account me 3-4 days me refund ho jayega. agar apne ticket ka payment paytm ya kisi aur wallet ke through kiya hoga to balance usi wallet me refund ho jayega.
Ticket Cancel karne ke liye Cancellation Charge bhi lagta hai. Ticket Cancel karne par kitna cancellation charge lagega isaki jankari pane ke liye aap niche di gayyi link par click kar sakte hai.
Maine sleeper ka ticket cancel kiya tha to 120 Rs Cancellation charge laga tha.
Cancellation Fee |
Waiting List Reservation Train Ticket Cancel Karne ka Process -
to friends upar hamane bataya ki agar apka Reservation Train Ticket confirmed hai to aap usko kaise cancel kar sakte ho. ab ham bat karenge agar apne online ticket book kiya hai lekin wo waiting list me hai to aap usko kaise cancel kar sakte ho.
is case me apko wait karna hoga. chart preparred hone tak ( Train Chalane ke 1 hour pahle chart preparred ho jata hai ) agar chart preparred hone ke bad bhi apke ticket ka status waiting show kar raha hai to aapko tension lene ki koi jarurat nahi hai. apka ticket automatic cancel ho jayega. apko kuchh bhi karna nahi padega aur apne jiske jariye ticket ka payment kiya tha usi me apko refund mil jayega. is case me cancellation charge bahut kam lagta hai.
Waiting list train ticket cancellation se related jyada jankari pane ke liye aap niche diya gaya video dekh sakte ho.
To friends i hope apko samjh me aa gaya hoga ki train ticket cancel kaise karte hai . agar apka isase related koi sawal hai to aap niche comment box me comment karke puchh sakte ho.... Thanks For Reading Stay Connected with www.kalpesu.com for more interesting information.
0 Response to "Reservation Train Ticket Cancel Kaise Kare"
Post a Comment