Paytm Merchant Account Kaise Banaye ?
Hello Friends aaj ke is post me mai aap logo ko batane ja raha hu ki kaise aap paytm merchant account ko Create kar sakte ho. friends isase pahle mai aap logo ko thoda paytm merchant account ke bare me jankari de deta hu ki apko paytm merchant account kyo banana chahiye. aur paytm merchant account kya hota hai ? paytm merchant account ke kya fayde hai .
Paytm Merchant Account Kya hai ? -
friends jaisa ki ham sabhi log jante hai ki paytm ak digital wallet hai aur yah india me bahut tezi se grow kar raha hai. Paytm wallet se aap bahut se kam kar sakte ho. isi tarh paytm ne apni kuchh aur services start ki hai. unhi me se paytm merchant bhi ak service hai. paytm merchant kya hota hai ? isase pahle ham jan lete hai ki merchant kya hota hai. merchant means hota hai (व्यापारी) aur paytm merchant account banane ki sirf inhi logo ko jarurat hoti hai. means normal person ko merchant account banane ki koi jarurat nahi hai. to ab ham thoda bat karte hai ki paytm merchant account ko wyapari ( व्यापारी ) log kyo banate hai aur isake kya fayde hai ?
Paytm Merchant Account Banane ke Fayde ? -
Friends jab se hamare desh me 4G Internet aaya hai tab se ham sabhi logo ke liye Digital payments karna bahut hi asan ho gaya hai. pahle kya hota tha jab ham log Market me koi saman lene jate the to ham apni wallet (पर्स/बटुए) me rupee lekar jate the aur jitane rupee ka saman hota tha utane rupee de dete hai. chuki ab ham log digital ho gaye hai isiliye ab ham log wallet ki jagah digital wallet yani ki paytm wallet ko apne mobile me install rakhte hai aur paytm me apne bank account se rupee add kar lete hai. aur jab ham kisi shop par jate hai aur shop par lage paytm QR code ko apne mobile se scan karte hai aur jo hamane saman liya hai uska payment kar dete hai. aur hamare paytm wallet se rupee cutt hokar merchant ke paytm account me rupee pahuch jate hai. aur isi merchant qr code ko pane ke liye paytm merchant account banana padta hai.
Friends yaha par ak aur bat hai agar aap paytm merchant account nahi banaoge tab bhi aap apne paytm number par payment recieve kar sakte ho. lekin jab aap us payment ko paytm se bank me send karoge tab apse 3% paytm charge cutt karta hai. aur agar aap paytm merchant account bana lete ho to apko koi bhi fee deni nahi padti hai. to friends ye tha paytm merchant account banane ka fayda . ab ham bat karte hai ki paytm merchant account ko kaise create karna hai.
Paytm Merchant Account Kaise Banaye ? -
Paytm Merchant Account Banane ke liye sabse pahle niche di gayyi website par jaye aur waha par diye gaye Get Your QR Code ke Option par Click Kare .
usake bad apke samne login ka option ayega waha par apne paytm account ki id password dalkar login kare.
fir apse yaha par apke business se related kuchh information li jayegi apko wo information fill karke submit kar dena hai. aur fir apko waha se ak qr code milega apko wo qr code ko download karke apni shop par lagana hai. aur jab bhi koi customer us qr code ko scan karke apko payment karega. payment sidhe apke paytm merchant account me aa jayega.
Read Also -
Conclusion -
to friends ye tha complete process ki kaise aap paytm merchant account create kar sakte ho. agar apko paytm merchant account create karne me kisi bhi tarah ki problem aa rahi hai. to aap Paytm merchant helpline ( 012033663377 ) par call kar sakte ho. aur agar apka koi hamase question hai to aap niche diye comment box me comment karke puchh sakte ho. i hope apko hamari yah paytm se related post pasand aayi hogi isi tarah ki janakari pane ke liye www.kalpesu.com ko samay samay par visit karte rahiye..... Thanks
0 Response to "Paytm Merchant Account Kaise Banaye ? "
Post a Comment