Paytm eKYC Agent Kaise Bane
Friends kya aap paytm ekyc Agent banna chahte ho aur paytm se rupee kamana chahte ho. agar ha to aap bahut sahi jagah par ho aaj mai aap logo ko bataunga ki kaise aap paytm e-kyc Agent ban sakte ho. lekin isase pahle ham jan lete hai ki paytm e-kyc agent ka kya kam hota hai aur usako isake liye kya fayda hota hai.
Advantage Of Become Paytm e-KYC Agent -
friends sabse bada fayda yah hai ki aap paytm e-KYC agent bankar logo ke paytm account ka kyc (know your customer) complete kar sakte ho aur isake badale me paytm apko kuchh rupee dega. so aap is method ka use karke paytm se rupee kama sakte ho. so agar aap ak student ho aur part time job ko find kar rahe ho to yah apke liye ak best option ho skta hai. jab apke pass khali time ho to aap logo ke paytm account ka verification karke rupee Earn kar sakte ho. ab mai apko batata hu paytm e-kyc Agent banane ke liye apke pass kya kya hona chahiye. friends isko paytm partner program bhi kahte hai. so ab ham apko batate hai paytm partner program join karne ke liye apke pass kya kya hona chahiye.Eligibility to be paytm Partner -
Paytm Partner Program join karne ke liye apke pass ak Android Smartphone hona chahiye jo ki otg supported ho. yah mai isliye bata raha hu kyoki market me aise bahut se smartphone aa rahe hai jo otg supported nahi hote hai. otg supported ki jarurat isliye padegi kyoki isake sath me ak machine ko connect kiya jayega jiska name hai morpho is machine ko apne mobile me otg se connect karke apko paytm customer ke thumb ko scan karna hoga aur fir verification complete hoga. to isliye apke pass ak otg supported android mobile hona chahiye. to chaliye ab ham apko batate hai ki apko Paytm Partner kaise join karna hai.How To Be Paytm Partner -
Paytm Partner banane ke liye apko niche di gayyi site par jakar apna registration karna pdega.
is form ko fill karne ke bad apke pass ak call ayega aur apko bataya jayega ki apko kya karna hai aur fir apko ak email send kiya jayega aur usame ak paytm golden gate name ki apk ki download link di jayegi. apko us paytm golden gate app ko apne mobile me install karna aur fir usi email me paytm golden gate app ka id password hoga apko us id password se login karna hai. aur paytm ekyc karna start kar dena hai.
To friends ye to thi information ki paytm golden gate ka registration kaise kare ya paytm partner kaise bane ak hi bat hai. to agar apko paytm e-kyc Agent banane me kisi bhi tarh ki problem aa rahi hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. Friends yaha par mai ak important bat bata deta hu ki aaj se kuchh din pahle paytm partner program ka registration hona close ho gaye the lekin ab dobara start ho gaye hai so ab asani se paytm golden gate ki id password lekar work start kar sakte ho.
0 Response to "Paytm eKYC Agent Kaise Bane "
Post a Comment