DTDC Courier Ko Kaise Track Kare
friends kya apka koi package dtdc courier ke through aa raha hai. aur aap janna chahte ho ki wah courier apke ghar kabtak pahuchega. to aap bilkul sahi jagah par hai aaj ki is post me mai aap logo ko batane ja raha hu ki dtdc courier ko kaise track karte hai. friends kisi bhi courier package ko track karne ke liye apko tracking number ki jarurat hoti hai. to agar apke pass tracking number hai to aap bahut hi asani se apne courier package ko track kar sakte ho. chaliye batate hai apko package track karne ke liye kya karna hoga.
DTDC Courier Package Ko Kaise Track Kare -
courier track karne ke liye apke pass AWB/Consignment Number ya Reference number hona chahiye. ye number jab aap courier ko ship karwate hai to waha diya jata hai. to agar apke pass iname se koi bhi number hai to aap niche di gayyi link par click karke Dtdc courier ki webisite par jaye aur waha par agar apke pass AWB number hai to first option select karke apna AWB number dale aur Track wale button par click kare. jaise hi aap click karenge turant apki package ki location bata di jayegi.
jab aap dtdc ki website ko open karenge to apko kuchh is tarh ka interface dikhega. agar apko Courier Track karne me problem aa rahi hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko example dekar samjhaya gaya hai ki kaise apko courier track karna hai.
To friends ye to tha tarika online dtdc courier package track karne ka lekin agar apke pass internet connection nahi hai ya fir net slow hai to aap dtdc courier company ko sms send karke bhi apne courier ko track kar sakte ho. to chaliye ab apko batate hai ki kaise apko sms send karke dtdc courier package ko track karna hai. apko apne mobile me 'TRACK<space>Consignment Number' type karna hai aur fir apko 9230092300 is mobile number par send kar dena hai. aur fir apko dtdc ki taraf se ak replay message ayega us sms me apke courier package ki tracking detail likhi hogi.
to friends yaha par hamne apko dtdc courier package track ke 2 tarike bataye i hope aap apne courier ko track kar payenge agar apko fir bhi koi problem aa rahi hai to aap niche comment karke puchh sakte ho.
0 Response to "DTDC Courier Ko Kaise Track Kare "
Post a Comment