Top 3 energy efficient ceiling fans in india

Top 3 energy efficient ceiling fans in india

friends Garmiya start ho gayyi hai. aise me ham sabhi logo ko 24 hours fan ki jarurat padati hai. aur 24 hours fan chalane me parday ak normal ceiling fan almost 2 unit electricity consume karta hai. jo ki bahut jyada hai. isase hamara bijali ka bill bahut jyada aata hai. to friends yaha mai aap logo ko aaj kuchh aise ceiling fans ke bare me batane ja raha hu. jo ki bahut hi kam bijali consume karte hai. 

Top 3 energy efficient ceiling fans in india - 

friends waise to india me aise bahut si company claim karti hai ki ye bahut kam bijali consume karega lekin actual me kuchh aur hi hota hai. lekin yaha mai jo apko fans batane ja raha hu. wo actually work karte hai. basically ye fans ak new technology par kam karte hai. jiska name hai bldc technology. is technology ka use karke jo fan banaye jate hai. wo normal fan ke compare me bahut kam bijali consume karte hai. waise normal fan 60-80 watt per hour bijali consume karte hai. lekin bldc technology wale fans only 28- 35 watt bijali consume karte hai. to friends mai apko kuchh fans ki list provide kara raha hu. aap apne hisab se iname se koi bhi fan select kar sakte ho. 

  1. Gorilla energy Ceiling Fan with BLDC Motor 28 watt Price - 3000-3500 rs 
  2. Orient Electric Energy Saver Ecotech Plus 32 watt Price - 2291 Rs
  3. Usha Technix 1200mm 5 Star Ceiling Fan 45 watt Price - 2390 Rs (without bldc)
friends maine kafi research karke ye 3 fan findout kiye hai. jo ki energy afficient hai. aur sabhi ki onside warranty hai. means agar apko koi problem aati hai. to apko company ko call karna hai aur engineer apke ghar par akar fans ko sahi karega. aur ye bat bilkul sach hai. isko mai test bhi kar chuka hu. mere pass ak usha ka table fan hai. usame mujhe kuchh problem aa rahi thi to maine company ko call kiya. 
aur 2-3 dino bad ak engineer aaya aur usane mera fan sahi kar diya. and sabse badi bat ye service apko free of cost mil rahi hai. halanki mujhe pata hai ki ye fans apko thode mahange dikh rahe honge. but ak bar inko buy kar logo to ye jindagi bhar apki bijali save karenge. and 1-2nd fan ke sath me ak remote bhi aata hai to aap inko remotely bhi control kar sakte ho. 3rd wale fan ke sath remote nahi aata hai aur ye bldc technology wala fan nahi hai. but maine isko isiliye include kiya hai kyoki ye aur fans ke compare me kam bijali consume karta hai. 

i hope apko meri is post ne apki energy efficient ceiling fan buy karne me help ki hogi. post ko read karne ke liye thanks. agar apka is post se related koi question hai to aap niche comment karke puchh sakte ho. 

0 Response to "Top 3 energy efficient ceiling fans in india"

Post a Comment