Windows 10 Auto Update kaise Disable kare
hello friends aaj ki is post me mai aap logo ko batane ja raha hu ki windows 10 ke auto update ko kaise disable kare. friends windows ka auto update aajkal bahut badi problem ban gaya hai. agar apke computer me auto update on hai aur apne computer ko internet se connect kar diya to samjh lo apka sara data khatam ho jayega aur aap jan bhi nahi paoge. kyoki mere sath bhi aisa kayyi bar huwa hai. maine apne laptop me new windows 10 ko install kiya tha aur fir apne mobile ke hotspot ko laptop se connect kiya aur 10 min mera 1 gb data gayab ho gaya.
aisa mere sath 2-3 din lagatar huwa mai kafi paresan ho gaya. fir maine socha akhir ye data jata kaha hai tab pata chala ki windows ka auto update on hai . to fir maine kafi research kiya aur fir maine apne windows 10 ka auto update off kar diya. tabse mera laptop bilkul sahi kam kar raha hai. to aaj mai aap logo ko bhi wahi tarika batane ja raha hu. jisase aap apni windows 10 ka auto update off kar sakte ho.

Windows 10 Auto Update Disable/Off kaise kare -
windows 10 ke auto update ko off karne ke liye niche bataye gaye sabhi steps ko dhyan se follow kare.
1- Windows button ko press karke start menu ko open kare aur waha par 'Services' type kare. fir jo option aaye us par click karke services ko open kar le.
2- usake bad apke samne ak pannel open hoga usko scroll down kare aur niche dekhe apko ak windows update ka option dikhega. us par click kare.
3- fir apke samne ak aur new pop window open hogi usame apko startup type ke samne disable ko select karna hai. aur apply kar dena hai. isase apke windows ka auto update disable ho jayega.
friends mujhe puri umeed hai aap is post ko read karne ke bad badi hi asani se apni windows 10 ke auto update ko off/disable kar payenge. agar apko windows 10,8,8.1 ke auto update off karne me problem aa rahi hai ya fir aap upar bataye gaye steps apko samajh nahi aaye hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko sabhi steps ko karke live dikhaya gaya hai.
agar apka is post se related koi question hai to aap niche diye gaye comment box me comment karke puchh sakte ho.
0 Response to "Windows 10 Auto Update kaise Disable kare"
Post a Comment