Hindi Typing Kaise Shikhe

Hindi Typing Kaise Shikhe

Friends aaj mai aap logo ko hindi typing karne ki jankari dene ja raha hu. friends agar apko bhi hindi typing karna sikhna hai to aap is post ko read karke hindi typing karna sikh sakte ho. hindi typing karna bahut hi asan kam hai. aap only 10 days me hindi typing karna sikh sakte ho. 
to chaliye apko batate hai kaise apko hindi typing karna sikhana hai. friends pahle mai apko hindi typing sikhane ke liye kuchh jaruri chije hai mai apko unake bare me jankari de deta hu. 

Requirement to Learn Hindi Typing - 

friends hindi typing sikhane ke liye apke pass ak computer aur keyboard hona chahiye jo ki working condition me ho. aur computer me koi bhi windows install ho. agar windows 7 ya windows 10 hoga to accha hai. otherwise aap windows xp me bhi hindi typing karna sikh sakte ho

and second chij hai apke computer me hindi fonts bhi hona jaruri hai. basically jab aap apne computer me windows ko install karte ho to usame English font automatic install ho jate hai. kyoki english universal language hai aur lagbhag sabhi log computer ko english me hi use karte hai. 

to agar apko hindi me typing karna hai to apko hindi font install karna pdega. computer me hindi font install karna bahut hi asan hai aap niche di gayyi link par click karke computer me hindi font install karna sikh sakte ho. 
Font install hone ke bad kam khatam ab chaliye apko hindi typing karna sikhate hai

Computer me hindi typing kaise kare -

computer me hindi typing karne ke liye apko sabse pahle wordpad open karna hai. aap chaho to hindi typing karna notepad par bhi sikh sakte ho. lekin mere hisab se wordpad best hai. wordpad ko open kare aur fir usame hindi font ko select kare. 
hindi Font select hone ke bad jab aap koi bhi keyboard ki key press karoge to yaha hindi me likhega. ab apko keys ko pahchanna hai aur unko yad rakhana hai ki kis key se koun sa word aata hai. isake liye aap niche diye gaye hindi keyboard charts ko download karke uska printout nikalkar apne samne rakh sakte ho.
2-3 din aap is chart ko dekhkar par day 2-3 hours hindi typing karne ki kosis karo. 10-15 days me aap perfect hindi typing karna sikh jaoge. maine bhi isi tarh hindi typing karna sikha tha. 

Hindi Typing Examples - 

ab mai apko kuchh example deta hu hindi typing karne ke. jaise agar mujhe hindi me likhana hai - हिंदी टाइपिंग कैसे सीखे 
to mai apne keyboard me in keys ko press karunga- fgUnh VkbZfiax dSls lha[ks

Conclusion - 

waise dekhane me thoda ajeeb Lagta hai ki ye kaise hoga but aap tension na lo. mai jab 12 year ka tha tab maine hindi typing karna sikh liya tha. aur meri hindi typing me kafi acchi speed bhi aa gayi thi. so jab ak 12 year ka ladka 10 dino me hindi typing karna sikh skta hai to aap kyo nahi sikh sakte ho. 

so friends i hope aap bhi jaldi hi hindi typing sikh jaoge. agar apko hindi typing sikhane me koi problem aa rahi hai to aap niche diye gaye comment box me comment karke apna question puchh sakte ho. 

0 Response to "Hindi Typing Kaise Shikhe "

Post a Comment