YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं
hello friends aaj ki is post me ham aap logo ko batane ja rahe hai ki agar apke pass ak youtube channel hai aur aap uski videos ko youtube search me top par lana chahte ho to usake liye apko kya karna hoga. aur apki video kaise rank hogi. jisase aap apni videos par jyada view pa sake aur apki youtube se acchi income ho sake. yaha mai aap logo ko kuchh asan se step bataunga agar aap unko follow karenge to jarur apki video youtube me top par rank hogi.
YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं -
sabse pahle mai apko yaha kuchh tips bata deta hu ki apko kis tarh ki video banani hai. agar aap aise video banaugo jisko log dekhna pasand nahi karte to apki video rank nahi hogi. kyoki video rank karane me user interaction (like,comment,share) bhi jaruri hota hai. jo ki apko nahi milega kyoki apki video logo ko pasand nahi aa rahi hai. to aap kosis karke aisi video banaye jo logo ko pasand aaye.
YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं |
1- Video Quality HD (720p) ya isase jyada honi chahiye. kyoki aajkal sabhi logo ke pass accha 4G internet connection hai aur sabhi log videos ko HD quality me dekhna pasand karte hai. aur youtube bhi un videos ko top par rakhta hai jinki video quality acchi hoti hai. to apko is bat ka dhyan rakhan hai isase apki video ki ranking increase hogi.
2- Voice Quality bhi apke videos me acchi honi chahiye jyada noise nahi hona chahiye aur apke background me low volume me thoda music ho to jyada accha rahega. aap noise ko reduce karne ke liye Audacity audio editor ka use kar sakte ho. aur audio record karte time dhyan rakhe ki koi bhi noise karne wali chij ko on na rakhe jaise cooler,Fan,Generator etc. aur jitna ho sake acche si acchi quality ki voice ko record. voice recording ke liye aap mic buy kar sakte ho ya fir apne android mobile ki mic ka use bhi kar sakte ho. agar apki voice quality acchi hai to logo ka user intraction badhega. aur apki video top par rank karegi.
3- Thumblain youtube me videos ko rank karane me sabse aham bhumika nibhata hai. kyoki user ke samne thumblain hi hota hai aur usi ko dekh kar user decide karta hai ki hame ye video dekhni chahiye ya nahi. to aap kosis kare ki aisa thumblain banaye jisko dekhate hi log apki video par click kare aur usko dekhe aur ha thumblain video se related hi hona chahiye. nahi to youtube apko samjhega ki aap spamming kar rahe ho aur apka channel bhi delete kar sakta hai to apki sari mehnat kharab ho jayegi.isliye aapko is bat ka bhi dhyan rakhna hai.
4- Youtube par Video upload karne se pahle video aur thumblain ko rename jarur kar le. video aur thumblain ko rename karte time jo aap video ka title rakhne wale ho usko likhe. dhyan rahe title hindi me nahi hona chahiye isase apki search ranking down hogi kyoki ak servey ke jariye pata chala hai ki jin logo ko hindi aati hai wo bhi google aur youtube par english me search karte hai. to apko is bat ka khyal rakhna hai.
5- video upload hone ke bad ak accha sa title likhe. jo ki english ya hinglish me hona chahiye. aur aisa title likhe jo log youtube par search kar rahe ho. aap jo title rakhne ja rahe hai usko ak bar youtube par search karke dekh le isase apko pata chal jayega ki jo aap title rakhne ja rahe ho usko youtube par log search bhi karte hai ya nahi.
6- usake bad bari aati hai main chij description ki ye video ko rank karane me bahut hi important hai video ke description me apko video se related hi likhana hai . again yah english ya Hinglish me hona chahiye. aur agar video me apne kisi website ke bare me bola hai to us website ka description me link jarur add kare. description 500 words ka jarur hona chahiye. aur kosis kare description me un words ko include kare jo log youtube ya fir google me search karte hai. agar apka description acche se likha hai to aapki videos youtube me to top par ayegi hi sath me google search me bhi ayegi. to apko is bat ka dhyan rakhan hai.
7- ab bat aati hai keyword yani tags jo ki video ko youtube par rank karane me sabse jyada important hai. to apko aise keyword rakhane hai jo log youtube par search karte ho. dhyan rahe tag apke videos se related hi hone chahiye. nahi to youtube apko penalty bhi de sakta hai. aur kisi dusare popular youtube channel ke keyword ko use na kare aur na hi kisike keyword ko copy kare.
8- to ye the kuchh tips and tricks agar aap in sabhi tips ko follow karte hai. to mai guarantee ke sath kah sakta hu ki apki video youtube me sabse top par ayegi. aur ha aap log niche diye gaye video ko dekhe isame tubebuddy tool ki madad se youtube par video rank karane ki technique batayi gai hai. agar aap tubebudyy ki technique ko bhi follow karte hai fir to apki video youtube me top par hi ayegi.
* dosto jin logo ne youtube par naya channel banaya hai aur wo ye sabhi tips ko follow karte hai lekin fir bhi unki video rank nahi hoti hai. to paresan na ho youtube naye logo ki itani priority nahi deta hai. aap thoda wait karo. 15-20 acchi - acchi videos banao apki bhi video rank honi start ho jayegi.
aisa nhi hai ki apne ak video banayi aur wo rank nahi huyyi aur aap presan ho gaye ki video to rank hi nahi ho rahi hai. so ye youtube hai waha apko patience rakhna padega. tabhi apko success milegi.
Anyway thanks for reading this post. hope you will be able to rank your videos on youtube after reading this post. if you have any question regarding this post then don't forget to comment below. Best of luck for your future have a nice day.
0 Response to "YouTube Video को Top पर Rank कैसे कराएं"
Post a Comment